Sufinama

kya rokna aasan hai us tegh-ada ka

Shah Akbar Danapuri

kya rokna aasan hai us tegh-ada ka

Shah Akbar Danapuri

MORE BYShah Akbar Danapuri

    kyā roknā āsān hai us teġh-adā

    aisā hai koī thaam le jo haath qazā

    ham ahl-e-vafā rañg dikhāte haiñ vafā

    dil khol ke dikhlā.iye Dhañg apnī jafā

    jaatā nahīñ dil se mazā terī jafā

    ham ahl-e-vafā bhuul ga.e naam vafā

    shohrā hai bahut āshiq-e-shaidā vafā

    pahlū ye dabā.e hue terī jafā

    ai jaan jo nisbat huī terī taraf us

    jhuktā huā palla hai vafā se bhī jafā

    naaz ahl-e-vafā ko jo vafā par hai bajā hai

    pujne lagā vo jis ne liyā naam vafā

    hal hotī hai mushkil to balā Taltī hai sar se

    kyā naam mubārak hai shahīdān-e-vafā

    tā-hashr yahī safha-e-hastī pe rahegā

    miT jā.eñge ham naam miTegā na vafā

    duniyā se vafādār to uTThe the 'akbar'

    ab naam bhī uThtā nazar aatā hai vafā

    kya rokna aasan hai us tegh-ada ka

    aisa hai koi tham le jo hath qaza ka

    hum ahl-e-wafa rang dikhate hain wafa ka

    dil khol ke dikhlaiye Dhang apni jafa ka

    jata hi nahin dil se maza teri jafa ka

    hum ahl-e-wafa bhul gae nam wafa ka

    shohra hai bahut aashiq-e-shaida ki wafa ka

    pahlu ye dabae hue teri jafa ka

    ai jaan jo nisbat hui teri taraf us ki

    jhukta hua palla hai wafa se bhi jafa ka

    naz ahl-e-wafa ko jo wafa par hai baja hai

    pujne laga wo jis ne liya nam wafa ka

    hal hoti hai mushkil to bala Talti hai sar se

    kya nam mubarak hai shahidan-e-wafa ka

    ta-hashr yahi safha-e-hasti pe rahega

    miT jaenge hum nam miTega na wafa ka

    duniya se wafadar to uTThe hi the 'akbar'

    ab nam bhi uThta nazar aata hai wafa ka

    Source :
    • Book : Jazbaat-e-Akbar (Pg. 13)
    • Author :Shah Akbar Danapuri
    • Publication : Agra Akhbar Press, Agra (1915)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now