qatl aashiq ko kya us ka taDapna dekha
qatl āshiq ko kyā us kā taḌapnā dekhā
dil ko thāme hue baiThe ho tamāsha dekhā
jis ne qatroñ kī haqīqat pe nazar Daalī hai
usī aarif ne hai dariyā kā tamāsha dekhā
apne kushtoñ kī taḌap dekh ke betāb ho kyuuñ
kaisā dilchasp tamāsha hai tamāsha dekhā
haath ko joḌ ke phir arz kar un se 'akbar'
dil ko thāme hue baiThe ho tamāsha dekhā
jitne tiir aa.e tumhāre liye sab siine par
apne shaidā.iyoñ kā tum ne kaleja dekhā
us kī aahoñ kī shikāyat thī tumheñ ḳhvāb ke vaqt
ab to niiñd aa.egī āshiq kā janāza dekhā
ai ḳhudā shukr tirā tū ne vo āñḳheñ baḳhshīñ
ke sivā tere na muñh aur kisī kā dekhā
būñdeñ paḌtī haiñ samundar meñ to aatī hai sadā
qatre is tarah banā karte haiñ dariyā dekhā
āshiqī naam musībat kā hai chain us meñ kahāñ
rañj par rañj sahe sadma pe sadma dekhā
kahiye kuchh aur bhī thā aap kī ulfat ke sivā
chaak kar ke dil-e-ḳhūñ-gashta hamārā dekhā
hech hai apnī nigāhoñ meñ ye duniyā 'akbar'
jab se muñh ham ne hai ik mard-e-ḳhudā kā dekhā
qatl aashiq ko kya us ka taDapna dekha
dil ko thame hue baiThe ho tamasha dekha
jis ne qatron ki haqiqat pe nazar Dali hai
usi aarif ne hai dariya ka tamasha dekha
apne kushton ki taDap dekh ke betab ho kyun
kaisa dilchasp tamasha hai tamasha dekha
hath ko joD ke phir arz kar un se 'akbar'
dil ko thame hue baiThe ho tamasha dekha
jitne tir aae tumhaare liye sab sine par
apne shaidaiyon ka tum ne kaleja dekha
us ki aahon ki shikayat thi tumhein KHwab ke waqt
ab to nind aaegi aashiq ka janaza dekha
ai KHuda shukr tera tu ne wo aanKHen baKHshin
ke siwa tere na munh aur kisi ka dekha
bunden paDti hain samundar mein to aati hai sada
qatre is tarah bana karte hain dariya dekha
aashiqi nam musibat ka hai chain us mein kahan
ranj par ranj sahe sadma pe sadma dekha
kahiye kuchh aur bhi tha aap ki ulfat ke siwa
chaak kar ke dil-e-KHun-gashta hamara dekha
hech hai apni nigahon mein ye duniya 'akbar'
jab se munh hum ne hai ek mard-e-KHuda ka dekha
- Book : Jazbaat-e-Akbar (Pg. 20)
- Author :Shah Akbar Danapuri
- Publication : Agra Akhbar Press, Agra (1915)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.