di buzurgi ye KHuda ne mere but-KHane ko
dī buzurgī ye ḳhudā ne mere but-ḳhāne ko
shaiḳh ye ka.aba banā tere qasam khāne ko
bhar de saaqī mai-e-tauhīd se paimāne ko
le chale haiñ mujhe but khīñch ke but-ḳhāne ko
mere ahbāb mujhe aate haiñ samjhāne ko
koī aisā nahīñ jaa.e jo use laane ko
kū-e-jānāñ meñ jo dekhā hai kisī āshiq ne
vahī sahrā meñ nazar aatā hai dīvāne ko
ishq ne gaaḌ dayā aa ke mere dil meñ nishāñ
thā ye parcham usī vīrāne meñ lahrāne ko
dard-e-ġhurbat meñ hai ustād kā misra 'akbar'
duur tak yād-e-vatan aa.ī thī samjhāne ko
di buzurgi ye KHuda ne mere but-KHane ko
shaiKH ye kaba bana tere qasam khane ko
bhar de saqi mai-e-tauhid se paimane ko
le chale hain mujhe but khinch ke but-KHane ko
mere ahbab mujhe aate hain samjhane ko
koi aisa nahin jae jo use lane ko
ku-e-jaanan mein jo dekha hai kisi aashiq ne
wahi sahra mein nazar aata hai diwane ko
ishq ne gaD daya aa ke mere dil mein nishan
tha ye parcham usi virane mein lahrane ko
dard-e-ghurbat mein hai ustad ka misra 'akbar'
dur tak yaad-e-watan aai thi samjhane ko
- Book : Jazbaat-e-Akbar (Pg. 95)
- Author :Shah Akbar Danapuri
- Publication : Agra Akhbar Press, Agra (1915)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.