mohabbat ne teri mujhko kya apnon se begana
mohabbat ne tirī mujh ko kyā apnoñ se begāna
ta.alluq sab kā chhūTā ho gayā maiñ terā dīvāna
jise ulfat meñ pās-e-ābrū hai hai vo dīvāna
yahāñ jo duur hai farzāngī se hai vo farzāna
huā huuñ jab se ai jān-e-jahāñ maiñ terā dīvāna
mirā naam ahal-e-dānish kī zabānoñ par hai farzāna
sharāb aisī pilā mujh ko na bahkūñ maiñ na laġhzish ho
kahe har dekhne vaalā ki ye hai us kā mastāna
jahāñ pahuñchī nazar merī ḳhudāyā tū nazar aayā
mirī āñkhoñ meñ sab duniyā hai terā ā.īnā-kHāna
mere qātil ne maqtal meñ mujhī ko chun liyā 'akbar'
zamīñ par sar girā merā adā karne ko shukrāna
mohabbat ne teri mujh ko kya apnon se begana
talluq sab ka chhuTa ho gaya main tera diwana
jise ulfat mein pas-e-abru hai hai wo diwana
yahan jo dur hai farzangi se hai wo farzana
hua hun jab se ai jaan-e-jahan main tera diwana
mera nam ahal-e-danish ki zabanon par hai farzana
sharab aisi pila mujh ko na bahkun main na laghzish ho
kahe har dekhne wala ki ye hai us ka mastana
jahan pahunchi nazar meri KHudaya tu nazar aaya
meri aankhon mein sab duniya hai tera aaina-kHana
mere qatil ne maqtal mein mujhi ko chun liya 'akbar'
zamin par sar gira mera ada karne ko shukrana
- Book : Jazbat-e-Akbar (Pg. 106)
- Author :Shah Akbar Danapuri
- Publication : Agra Akhbar Press, Agra (1915)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.