Sufinama

ya-rab kahin kahe bhi qiyamat pukar ke

Shah Akbar Danapuri

ya-rab kahin kahe bhi qiyamat pukar ke

Shah Akbar Danapuri

MORE BYShah Akbar Danapuri

    yā-rab kahīñ kahe bhī qiyāmat pukār ke

    maiñ aa.ī sone vaale uTheñ ab mazār ke

    rakkhe jo merī qabr par us rashk-e-gul ne paañv

    ġhunche shagufta ho ga.e lauh-e-mazār ke

    dekhā kise farishtoñ ne aate hue idhar

    chakkar lagā rahe haiñ hamāre mazār ke

    vo kaj-kulāh aa.e jo dariyā sair ko

    rakh deñ habāb Topiyāñ sar se utaar ke

    us se chaman chhuTā to vatan ham se chhuT gayā

    ham bhī haiñ saath saath fasl-e-bahār ke

    'akbar' abhī na band hoñ ye naġhma-sanjiyāñ

    gulshan meñ haiñ buland tarāne hazār ke

    ya-rab kahin kahe bhi qiyamat pukar ke

    main aai sone wale uThen ab mazar ke

    rakkhe jo meri qabr par us rashk-e-gul ne panw

    ghunche shagufta ho gae lauh-e-mazar ke

    dekha kise farishton ne aate hue idhar

    chakkar laga rahe hain hamare mazar ke

    wo kaj-kulah aae jo dariya ki sair ko

    rakh den habab Topiyan sar se utar ke

    us se chaman chhuTa to watan hum se chhuT gaya

    hum bhi hain sath sath hi fasl-e-bahaar ke

    'akbar' abhi na band hon ye naghma-sanjiyan

    gulshan mein hain buland tarane hazar ke

    Source :
    • Book : Jazbaat-e-Akbar (Pg. 176)
    • Author :Shah Akbar Danapuri
    • Publication : Agra Akhbar Press, Agra (1915)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now