abhi aae the abhi chal base marne wale
abhī aa.e the abhī chal base marne vaale
yuuñ safar karte haiñ duniyā se guzarne vaale
āfateñ Dhāte haiñ duniyā meñ sañvarne vaale
luuTe lete haiñ zamāne ko nikharne vaale
baiTheñ ḳhush ho ke na ġhunchoñ meñ nikharne vaale
sab ke sab misal gul ik din haiñ bikharne vaale
aap miT jaa.eñ magar radd na ho saa.el kā savāl
ham to haiñ qabr kā muñh ḳhaak se bharne vaale
dekh ai qabr badan un kā na melā ho kahīñ
duudh ke dho.e hue haiñ ye nikharne vaale
naam se rāh-e-adam ke hameñ kyuuñ vahshat hai
sab usī raah se ik din haiñ guzarne vaale
khul gayā bhed hameñ yaar tire ghūñgaT kā
muñh dikhāte nahīñ dil le ke mukarne vaale
vasl kī fikr to kī zor na qismat se chalā
kaam vo aur hī hote haiñ sañvarne vaale
ḳhuub dekhī hai añdherī shab-e-ġham kī 'akbar'
ham nahīñ tīrgī-e-qabr se Darne vaale
abhi aae the abhi chal base marne wale
yun safar karte hain duniya se guzarne wale
aafaten Dhate hain duniya mein sanwarne wale
luTe lete hain zamane ko nikharne wale
baiThen KHush ho ke na ghunchon mein nikharne wale
sab ke sab misal gul ek din hain bikharne wale
aap miT jaen magar radd na ho sael ka sawal
hum to hain qabr ka munh KHak se bharne wale
dekh ai qabr badan un ka na mela ho kahin
dudh ke dhoe hue hain ye nikharne wale
nam se rah-e-adam ke hamein kyun wahshat hai
sab usi rah se ek din hain guzarne wale
khul gaya bhed hamein yar tere ghungaT ka
munh dikhate nahin dil le ke mukarne wale
wasl ki fikr to ki zor na qismat se chala
kaam wo aur hi hote hain sanwarne wale
KHub dekhi hai andheri shab-e-gham ki 'akbar'
hum nahin tirgi-e-qabr se Darne wale
- Book : Tajalliyat-e-Ishq (Pg. 290)
- Author :Shah Akbar Danapuri
- Publication : Shaukat Shahjehani, Agra (1896)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.