taKHt-e-zarrin baadshahon ke liye
taḳht-e-zarrīñ bādshāhoñ ke liye
boriyā a.alam-panāhoñ ke liye
aaḌe aatā hai musībat meñ vahī
vo sipar hai be-panāhoñ ke liye
rahmat-e-haq ham gunahgāroñ kā haq
zohd-o-taqvā be-gunāhoñ ke liye
chashm-e-jauhar hai mire qātil kī teġh
ḳhuun roī be-gunāhoñ ke liye
yā nabī pakḌā hai dāman aap kā
hai yahī baḳhshish gunāhoñ ke liye
allāh allāh jab liyā allāh kā naam
abr-e-rahmat thā gunāhoñ ke liye
ishq kī manzil se nā-vāqif haiñ ḳhizr
dil hai rahbar aisī rāhoñ ke liye
ham faqīroñ kī yahī hai kā.enāt
boriyā hāzir hai shāhoñ ke liye
hai vahī do gaz zamīñ das gaz kafan
ham gadāoñ aur shāhoñ ke liye
is taraf aa.e na 'akbar' tīr-e-ġham
hai ye dil nāvik nigāhoñ ke liye
taKHt-e-zarrin baadshahon ke liye
boriya aalam-panahon ke liye
aaDe aata hai musibat mein wahi
wo sipar hai be-panahon ke liye
rahmat-e-haq hum gunahgaron ka haq
zohd-o-taqwa be-gunahon ke liye
chashm-e-jauhar hai mere qatil ki tegh
KHun roi be-gunahon ke liye
ya nabi pakDa hai daman aap ka
hai yahi baKHshish gunahon ke liye
allah allah jab liya allah ka nam
abr-e-rahmat tha gunahon ke liye
ishq ki manzil se na-waqif hain KHizr
dil hai rahbar aisi rahon ke liye
hum faqiron ki yahi hai kaenat
boriya hazir hai shahon ke liye
hai wahi do gaz zamin das gaz kafan
hum gadaon aur shahon ke liye
is taraf aae na 'akbar' tir-e-gham
hai ye dil nawik nigahon ke liye
- Book : Jazbat-e-Akbar (Pg. 185)
- Author :Shah Akbar Danapuri
- Publication : Agra Akhbar Press, Agra (1915)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.