dar-e-yar se sar ko ragDa karenge
dar-e-yār se sar ko ragḌā kareñge
yahīñ ham muqaddar ko sīdhā kareñge
falak kaj-ravī se nahīñ baaz aatā
hamīñ ek din us ko sīdhā kareñge
chhupāyā hameñ dekh kar tum ne muñh ko
bas ab ham bhī duniyā se pardā kareñge
ġhazab hai raqīb un ke pahlū meñ baiThe
jo qismat dikhā.egī dekhā kareñge
bahut duur hai ka.aba pahuñcheñ na pahuñcheñ
isī āstāne ko chūmā kareñge
bahut ḳhush hue de ke dil us ko 'akbar'
bas ab umr-bhar aap royā kareñge
dar-e-yar se sar ko ragDa karenge
yahin hum muqaddar ko sidha karenge
falak kaj-rawi se nahin baz aata
hamin ek din us ko sidha karenge
chhupaya hamein dekh kar tum ne munh ko
bas ab hum bhi duniya se parda karenge
ghazab hai raqib un ke pahlu mein baiThe
jo qismat dikhaegi dekha karenge
bahut dur hai kaba pahunchen na pahunchen
isi aastane ko chuma karenge
bahut KHush hue de ke dil us ko 'akbar'
bas ab umr-bhar aap roya karenge
- Book : Jazbat-e-Akbar (Pg. 188)
- Author :Shah Akbar Danapuri
- Publication : Agra Akhbar Press, Agra (1915)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.