Sufinama

tum aae bagh bagh ye virana ho gaya

Shah Akbar Danapuri

tum aae bagh bagh ye virana ho gaya

Shah Akbar Danapuri

MORE BYShah Akbar Danapuri

    tum aa.e baaġh baaġh ye vīrāna ho gayā

    vahshat-kada hamārā parī-ḳhāna ho gayā

    faiz-e-qadam se tere huā ka.aba mohtaram

    barsoñ but-kada thā ḳhudā-ḳhāna ho gayā

    us but ne aa ke qabza mere dil pe kar liyā

    parvardigār ghar tirā but-ḳhāna ho gayā

    behosh kar diyā mujhe us but ke ishq ne

    allāh terā shukr maiñ farzāna ho gayā

    ham mai-kashoñ muñh nahīñ phirtā udhar se kyuuñ

    qibla hamārā kyā dar mai-ḳhāna ho gayā

    sab khel bigaḌ gayā 'akbar' ne tauba

    lo ḳhatm ab ye jalsa-e-rindāna ho gayā

    tum aae bagh bagh ye virana ho gaya

    wahshat-kada hamara pari-KHana ho gaya

    faiz-e-qadam se tere hua kaba mohtaram

    barson ka but-kada tha KHuda-KHana ho gaya

    us but ne aa ke qabza mere dil pe kar liya

    parwardigar ghar tera but-KHana ho gaya

    behosh kar diya mujhe us but ke ishq ne

    allah tera shukr main farzana ho gaya

    hum mai-kashon ka munh nahin phirta udhar se kyun

    qibla hamara kya dar mai-KHana ho gaya

    sab khel hi bigaD gaya 'akbar' ne tauba ki

    lo KHatm ab ye jalsa-e-rindana ho gaya

    Source :
    • Book : Jazbat-e-Akbar (Pg. 25)
    • Author :Shah Akbar Danapuri
    • Publication : Agra Akhbar Press, Agra (1915)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now