kahan tak ai yar KHwab-e-ghaflat KHuda-KHuda kar KHuda-KHuda kar
kahan tak ai yar KHwab-e-ghaflat KHuda-KHuda kar KHuda-KHuda kar
Shah Akbar Danapuri
MORE BYShah Akbar Danapuri
kahāñ tak ai yaar ḳhvāb-e-ġhaflat ḳhudā-ḳhudā kar ḳhudā-ḳhudā kar
javānī kā vaqt hai ġhanīmat ḳhudā-ḳhudā kar ḳhudā-ḳhudā kar
huā jo javānī kī shab kā taḌpā buḌhāpā ab tere sar pe chamkā
abhī ye fursat bhī hai ġhanīmat ḳhudā-ḳhudā kar ḳhudā-ḳhudā kar
ibādatoñ kā mahīna aayā ḳhudā kā pyārā payām laayā
pukār kar kah rahī hai rahmat ḳhudā-ḳhudā kar ḳhudā-ḳhudā kar
ye ḳhvāb achchhā nahīñ hai terā ḳhabar bhī hai ho gayā saverā
sahar se shab ho rahī hai ruḳhsat ḳhudā-ḳhudā kar ḳhudā-ḳhudā kar
ye zindagī hai habāb-e-dariyā qiyām us ko nahīñ hai aslan
phir aise jiine pe itnī ġhaflat ḳhudā-ḳhudā kar ḳhudā-ḳhudā kar
tu kār-e-duniyā meñ tez-tar hai jahān bhar kī tujhe ḳhabar hai
magar ḳhudā kī taraf se ġhaflat ḳhudā-ḳhudā kar ḳhudā-ḳhudā kar
jo chāhe tū ḳhātma ho achchhā rahe na dozaḳh kā koī khaTkā
to sun buzurgoñ kī nasīhat ḳhudā-ḳhudā kar ḳhudā-ḳhudā kar
lihāf se muñh nikāl apnā judā ho toshak se pheñk takiye
agar hai allāh se mohabbat ḳhudā-ḳhudā kar ḳhudā-ḳhudā kar
ye kaam 'akbar' nahīñ hai achchhā ḳhudā ko ik din hai muñh dikhānā
tujhe hai duniyā-e-dūñ se ulfat ḳhudā-ḳhudā kar ḳhudā-ḳhudā kar
kahan tak ai yar KHwab-e-ghaflat KHuda-KHuda kar KHuda-KHuda kar
jawani ka waqt hai ghanimat KHuda-KHuda kar KHuda-KHuda kar
hua jo jawani ki shab ka taDpa buDhapa ab tere sar pe chamka
abhi ye fursat bhi hai ghanimat KHuda-KHuda kar KHuda-KHuda kar
ibaadaton ka mahina aaya KHuda ka pyara payam laya
pukar kar kah rahi hai rahmat KHuda-KHuda kar KHuda-KHuda kar
ye KHwab achchha nahin hai tera KHabar bhi hai ho gaya sawera
sahar se shab ho rahi hai ruKHsat KHuda-KHuda kar KHuda-KHuda kar
ye zindagi hai habab-e-dariya qiyam us ko nahin hai aslan
phir aise jine pe itni ghaflat KHuda-KHuda kar KHuda-KHuda kar
tu kar-e-duniya mein tez-tar hai jahan bhar ki tujhe KHabar hai
magar KHuda ki taraf se ghaflat KHuda-KHuda kar KHuda-KHuda kar
jo chahe tu KHatma ho achchha rahe na dozaKH ka koi khaTka
to sun buzurgon ki nasihat KHuda-KHuda kar KHuda-KHuda kar
lihaf se munh nikal apna juda ho toshak se phenk takiye
agar hai allah se mohabbat KHuda-KHuda kar KHuda-KHuda kar
ye kaam 'akbar' nahin hai achchha KHuda ko ek din hai munh dikhana
tujhe hai duniya-e-dun se ulfat KHuda-KHuda kar KHuda-KHuda kar
- Book : Jazbat-e-Akbar (Pg. 54)
- Author :Shah Akbar Danapuri
- Publication : Agra Akhbar Press, Agra (1915)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.