dard-e-dil ka majra kis se kahen
dard-e-dil kā mājrā kis se kaheñ
kaun hai dard-āshnā kis se kaheñ
dard kī sūrat uThā pahlū se vo
haa.e dil meñ dard uThā kis se kaheñ
maar Daalā intizār-e-yār ne
āñkhoñ meñ dam aa gayā kis se kaheñ
aap ne jo kuchh kahā ham ne sunā
apnī biitī ham bhalā kis se kaheñ
ishq ik parda-nashīñ kā hai hameñ
apnā qissa barmalā kis se kaheñ
un kā muñh paa.eñ to kuchh ham kah chaleñ
vo to haiñ ham se ḳhafā kis se kaheñ
aa ga.e haiñ ham balā ke pech meñ
kyā hai vo zulf-e-dotā kis se kaheñ
aa gayā ik sañg-dil par apnā dil
shīsha patthar se laḌā kis se kaheñ
vo to sunte hī nahīñ āshiq kā haal
jo sitam ham par huā kis se kaheñ
jalva-farmā dil meñ ai 'akbar' hai kaun
baat parde kī bhalā kis se kaheñ
dard-e-dil ka majra kis se kahen
kaun hai dard-ashna kis se kahen
dard ki surat uTha pahlu se wo
hae dil mein dard uTha kis se kahen
mar Dala intizar-e-yar ne
aankhon mein dam aa gaya kis se kahen
aap ne jo kuchh kaha hum ne suna
apni biti hum bhala kis se kahen
ishq ek parda-nashin ka hai hamein
apna qissa barmala kis se kahen
un ka munh paen to kuchh hum kah chalen
wo to hain hum se KHafa kis se kahen
aa gae hain hum bala ke pech mein
kya hai wo zulf-e-dota kis se kahen
aa gaya ek sang-dil par apna dil
shisha patthar se laDa kis se kahen
wo to sunte hi nahin aashiq ka haal
jo sitam hum par hua kis se kahen
jalwa-farma dil mein ai 'akbar' hai kaun
baat parde ki bhala kis se kahen
- Book : Tajalliyat-e-Ishq (Pg. 208)
- Author :Shah Akbar Danapuri
- Publication : Shaukat Shahjehani, Agra (1896)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.