nikli jo ruh jism se phir hai badan mein kya
niklī jo ruuh jism se phir hai badan meñ kyā
jab sham.a bujh ga.ī to rahā anjuman meñ kyā
baiThe hue haiñ uThne ko dil chāhtā nahīñ
khultā nahīñ hameñ ke hai is anjuman meñ kyā
majma.a hai mere dil meñ hasīnoñ kā aaj kyuuñ
raunaq-fazā hai yaar isī anjuman meñ kyā
vo sher kyā ki jo nashtar chubhā na de
ho jis meñ bū na dard kī hai is suḳhan meñ kyā
ham jānte haiñ vasl kā deñge jo vo javāb
yaad un ko hai nahīñ ke sivā har suḳhan meñ kyā
TeḌhā javāb dete ho tum sīdhī baat kā
yaad ek adā yahī hai tumheñ bāñkpan meñ kyā
ai barahman kisī se ye kyuuñ bolte nahīñ
taalā paḌā huā hai butoñ ke dahan meñ kyā
kyā shukr koī ne.amat-e-haq kā adā kare
letī hai zā.iqe ye zabāñ us dahan meñ kyā
ahbāb sab musāfir mulk-e-adam hue
ab ham akele rah ke kareñge vatan meñ kyā
'akbar' mirī ġhazal ko zarā tū bhī dekh le
kyā jaane bik gayā huuñ maiñ dīvāna-pan meñ kyā
nikli jo ruh jism se phir hai badan mein kya
jab shama bujh gai to raha anjuman mein kya
baiThe hue hain uThne ko dil chahta nahin
khulta nahin hamein ke hai is anjuman mein kya
majma hai mere dil mein hasinon ka aaj kyun
raunaq-faza hai yar isi anjuman mein kya
wo sher kya ki jo nashtar chubha na de
ho jis mein bu na dard ki hai is suKHan mein kya
hum jaante hain wasl ka denge jo wo jawab
yaad un ko hai nahin ke siwa har suKHan mein kya
TeDha jawab dete ho tum sidhi baat ka
yaad ek ada yahi hai tumhein bankpan mein kya
ai barahman kisi se ye kyun bolte nahin
tala paDa hua hai buton ke dahan mein kya
kya shukr koi neamat-e-haq ka ada kare
leti hai zaiqe ye zaban us dahan mein kya
ahbab sab musafir mulk-e-adam hue
ab hum akele rah ke karenge watan mein kya
'akbar' meri ghazal ko zara tu bhi dekh le
kya jaane bik gaya hun main diwana-pan mein kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.