jab se dekha ruKH-e-pur-nur tumhaara humne
jab se dekhā ruḳh-e-pur-nūr tumhārā ham ne
na liyā bhuul ke phir naam kisī kā ham ne
mar rahe haiñ magar ab bhī nahīñ khultī āñkheñ
kyā kaheñ ham use kin āñkhoñ se dekhā ham ne
na to ka.aba se javāb aayā na but-ḳhāne se
jis jagah ham ga.e us ko hī pukārā ham ne
aap farmāte haiñ zālim hameñ shak is meñ nahīñ
sach to hai tīr-e-nazar taan ke maarā ham ne
pahle dil thā kabhī naam us kā magar ab vo nahīñ
nuur manzil ko kyā ḳhaak kā Tiila ham ne
apnī āñkhoñ meñ samātā koī kyuuñ kar 'akbar'
āñkheñ khulte hī use dekh liyā thā ham ne
jab se dekha ruKH-e-pur-nur tumhaara hum ne
na liya bhul ke phir nam kisi ka hum ne
mar rahe hain magar ab bhi nahin khulti aankhen
kya kahen hum use kin aankhon se dekha hum ne
na to kaba se jawab aaya na but-KHane se
jis jagah hum gae us ko hi pukara hum ne
aap farmate hain zalim hamein shak is mein nahin
sach to hai tir-e-nazar tan ke mara hum ne
pahle dil tha kabhi nam us ka magar ab wo nahin
nur manzil ko kya KHak ka Tila hum ne
apni aankhon mein samata koi kyun kar 'akbar'
aankhen khulte hi use dekh liya tha hum ne
- Book : Jazbat-e-Akbar (Pg. 207)
- Author :Shah Akbar Danapuri
- Publication : Agra Akhbar Press, Agra (1915)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.