Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

kya jaane kidhar hum hain wo dildar kahan hai

Shah Akbar Danapuri

kya jaane kidhar hum hain wo dildar kahan hai

Shah Akbar Danapuri

MORE BYShah Akbar Danapuri

    kyā jaane kidhar ham haiñ vo dildār kahāñ hai

    vo akbar-e-ḳhasta jigar-afgār kahāñ hai

    but-ḳhāne kise kahte haiñ kyā chiiz hai ka.aba

    tasbīh kidhar rahtī hai zunnār kahāñ hai

    kis tarah se aanā huā mai-ḳhāna meñ ai shaiḳh

    jubba hai kahāñ aap dastār kahāñ hai

    allāh re is ummat-e-marhūm ke rutbe

    ḳhud afv hai jo yaañ ki gunahgār kahāñ hai

    juz tere kisī hameñ ai dost ḳhabar kyā

    kyā jāneñ kidhar ġhair ga.e yaar kahāñ hai

    paidā jo ho sachchī talab insān ko 'akbar'

    matlūb kahe merā talab-gār kahāñ hai

    kya jaane kidhar hum hain wo dildar kahan hai

    wo akbar-e-KHasta jigar-afgar kahan hai

    but-KHane kise kahte hain kya chiz hai kaba

    tasbih kidhar rahti hai zunnar kahan hai

    kis tarah se aana hua mai-KHana mein ai shaiKH

    jubba hai kahan aap ki dastar kahan hai

    allah re is ummat-e-marhum ke rutbe

    KHud afw hai jo yan ki gunahgar kahan hai

    juz tere kisi ki hamein ai dost KHabar kya

    kya jaanen kidhar ghair gae yar kahan hai

    paida jo ho sachchi talab insan ko 'akbar'

    matlub kahe mera talab-gar kahan hai

    Source :
    • Book : Tajalliyat-e-Ishque (Pg. 370)
    • Author : Sha Akbar Danapuri
    • Publication : shaukat Shahjahani, Aagra (1896)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now