gulshan mein usne ruKH se jo parda uTha diya
gulshan meñ us ne ruḳh se jo parda uThā diyā
bulbul kā hosh rañg guloñ kā uḌā diyā
ye kah ke shaiḳh ne mujhe dars-e-fanā diyā
baaqī rahā vo jis ne ḳhudī ko miTā diyā
thā apnī san.atoñ kā tamāsha jo dekhnā
bāzār-e-kā.enāt meñ melā lagā diyā
razzāqī-e-ḳhudā pe hai takiya faqīr ko
baiThe haiñ ghar meñ khāte haiñ allāh kā diyā
dil kis se māñgte ho kahāñ dil kahāñ jigar
muddat huī ki ḳhaak meñ sab ko milā diyā
'akbar' buland kī mere qātil ne teġh jab
maiñ ne sar-e-niyāz qadam par jhukā diyā
gulshan mein us ne ruKH se jo parda uTha diya
bulbul ka hosh rang gulon ka uDa diya
ye kah ke shaiKH ne mujhe dars-e-fana diya
baqi raha wo jis ne KHudi ko miTa diya
tha apni sanaton ka tamasha jo dekhna
bazar-e-kaenat mein mela laga diya
razzaqi-e-KHuda pe hai takiya faqir ko
baiThe hain ghar mein khate hain allah ka diya
dil kis se mangte ho kahan dil kahan jigar
muddat hui ki KHak mein sab ko mila diya
'akbar' buland ki mere qatil ne tegh jab
main ne sar-e-niyaz qadam par jhuka diya
- Book : Tajalliyat-e-Ishque (Pg. 53)
- Author : Sha Akbar Danapuri
- Publication : shaukat Shahjahani, Aagra (1896)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.