Sufinama

phir wo rashk-e-gul-e-tar yaad aaya

phir vo rashk-e-gul-e-tar yaad aayā

phir vo manzūr-e-nazar yaad aayā

haif is dil pe hai jis ko ai dost

juz tire koī agar yaad aayā

ba.ad muddat ke chale haiñ nāvik

aaj phir merā jigar yaad aayā

is ke sahne ko bhī ham haiñ tayyār

kuchh sitam aur agar yaad aayā

ka.aba dair ho shaidā ko tire

har jagah terā dar yaad aayā

kuchh bhī yaad ab dil-e-kāmil ko nahīñ

jo yaad aayā agar yaad aayā

phir wo rashk-e-gul-e-tar yaad aaya

phir wo manzur-e-nazar yaad aaya

haif is dil pe hai jis ko ai dost

juz tere koi agar yaad aaya

baad muddat ke chale hain nawik

aaj phir mera jigar yaad aaya

is ke sahne ko bhi hum hain tayyar

kuchh sitam aur agar yaad aaya

kaba ya dair ho shaida ko tere

har jagah tera hi dar yaad aaya

kuchh bhi yaad ab dil-e-kaamil ko nahin

tu jo yaad aaya agar yaad aaya

Source :
  • Book : Bihar men Urdu ki Sufiyana Shairi (Pg. 200)
  • Author :Mohammad Tayyab Abdali
  • Publication : Israr Karimi Press Allahabad (1988)
  • Edition : First
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now