KHuda chashm-e-haqiqat mein agar anwar bana dega
KHuda chashm-e-haqiqat mein agar anwar bana dega
Shah Ameen Ahmad Firdausi
MORE BYShah Ameen Ahmad Firdausi
ḳhudā chashm-e-haqīqat meñ agar anvar banā degā
usī ’ishq-e-majāzī ko merā rahbar banā degā
nasīboñ se visāl-e-yār agar mil jā.egā mujh ko
mere baḳht-e-zabūñ ko tāle'-e-yāvar banā degā
kabhī maanī mujhe mil jā.egā jānāñ to pūchhūñgā
terī tasvīr mere sañg-e-marqad par banā degā
bigaḌ jaanā agar qismat meñ apnī hai likhā ai 'shauq'
merī taqdīr ko achchhī koī kyūñ-kar banā degā
KHuda chashm-e-haqiqat mein agar anwar bana dega
usi ’ishq-e-majazi ko mera rahbar bana dega
nasibon se visal-e-yar agar mil jaega mujh ko
mere baKHt-e-zabun ko tale'-e-yawar bana dega
kabhi mani mujhe mil jaega jaanan to puchhunga
teri taswir mere sang-e-marqad par bana dega
bigaD jaana agar qismat mein apni hai likha ai 'shauq'
meri taqdir ko achchhi koi kyun-kar bana dega
- Book : Urdu Adab ki Tarikh me Nalanda Zila ki khidmat (Pg. 68)
- Author : Dr.Ishrat Aara Sultana
- Publication : Afeef Offset Printers, Delhi-6 (2010)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.