dekhne jab apnī surat wo pari-paikar laga
dekhne jab apnī sūrat vo parī-paikar lagā
ban gayā ā.īna jogī muñh ko ḳhākistar lagā
chashm-e-naqsh-e-pā se haiñ pāmāl hasrat dekhiye
gosha-e-dāman ko apne aur bhī Thokar lagā
der kyuuñ kartā hai phir kyā jāniye kis kā ho daur
sāqiyā lab se hamāre tū lab-e-sāġhar lagā
ḳhat ke aane se paḌā hai shor mulk-e-husn meñ
daan kar sūraj-gahan kahte haiñ ai dilbar lagā
dekhiye ye jāñ-fishānī kyā dikhā.egī hameñ
tere muñh se to lahū be-vaj.h chashm-e-tar lagā
kis tarah laġhzish ho pā-e-istaqāmat ko mire
sham.a-sāñ mahfil meñ terī hai qadam sar se lagā
misl-e-naqsh-e-pā yahāñ mumkin nahīñ hai baiThnā
ai musāfir uTh kahīñ aur dosh se bistar lagā
naḳhl-e-qāmat ne tirī daulat pe phal paayā junūñ
jis taraf niklā udhar se ik na ik patthar lagā
shāḳh-e-gul chheḌī hai kis ne kyuuñ qalam kartā hai haath
dīda-o-dānista ab bohtān mat ham par lagā
aap se aa.e nahīñ ham sair karne bāġhbāñ
laa.ī hai bād-e-sabā gulshan meñ lipTā kar lagā
intizār-e-qāsid-e-gum-gashta ne maarā 'nasīr'
kis tarah uḌ jā.iye kūche meñ us ke par lagā
dekhne jab apnī surat wo pari-paikar laga
ban gaya aaina jogi munh ko KHakistar laga
chashm-e-naqsh-e-pa se hain pamal hasrat dekhiye
gosha-e-daman ko apne aur bhi Thokar laga
der kyun karta hai phir kya jaaniye kis ka ho daur
saqiya lab se hamare tu lab-e-saghar laga
KHat ke aane se paDa hai shor mulk-e-husn mein
dan kar suraj-gahan kahte hain ai dilbar laga
dekhiye ye jaan-fishani kya dikhaegi hamein
tere munh se to lahu be-wajh chashm-e-tar laga
kis tarah laghzish ho pa-e-istaqamat ko mere
shama-san mahfil mein teri hai qadam sar se laga
misl-e-naqsh-e-pa yahan mumkin nahin hai baiThna
ai musafir uTh kahin aur dosh se bistar laga
naKHl-e-qamat ne teri daulat pe phal paya junun
jis taraf nikla udhar se ek na ek patthar laga
shaKH-e-gul chheDi hai kis ne kyun qalam karta hai hath
dida-o-danista ab bohtan mat hum par laga
aap se aae nahin hum sair karne baghban
lai hai baad-e-saba gulshan mein lipTa kar laga
intizar-e-qasid-e-gum-gashta ne mara 'nasir'
kis tarah uD jaiye kuche mein us ke par laga
- Book : Kulliyat-e-Shah Naseer Edited: Tanwir Ahmad Alvi (Pg. 157)
- Author : Shah Naseer
- Publication : Majlis-e-Taraqqi Adab, Lahur (1971)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.