Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

chhoDa na tujhe ne ram kya ye bhi na hua wo bhi na hua

Shah Naseer

chhoDa na tujhe ne ram kya ye bhi na hua wo bhi na hua

Shah Naseer

MORE BYShah Naseer

    chhoḌā na tujhe ne raam kyā ye bhī na huā vo bhī na huā

    ham se to but-e-kāfir ba-ḳhudā ye bhī na huā vo bhī na huā

    afsos adam se aa ke kyā kiyā ham ne gulshan-e-hastī meñ

    juuñ shabnam-o-gul royā na hañsā ye bhī na huā vo bhī na huā

    us ā.īna-rū ke vasl meñ bhī mushtāq-e-bos-o-kanār rahe

    ai ālam-e-hairat tere sivā ye bhī na huā vo bhī na huā

    dil kū-e-butāñ meñ baiThā dam ḳhāna-e-tan ko chhoḌ gayā

    haif āḳhir-e-kār rafīq apnā ye bhī na huā vo bhī na huā

    bahr-e-tavāf-e-ka.aba ga.e mo.atakif-e-but-ḳhāna hue

    kyā shaiḳh-o-barhaman ham ne kiyā ye bhī na huā vo bhī na huā

    ai qāsid-e-ashk-o-paik sabā us tak na payām-o-ḳhat pahuñchā

    tum kyā kaaro haañ qismat likhā ye bhī na huā vo bhī na huā

    khīñch us ko na laayā jazba-e-dil tāsīr na kuchh naale ne

    maiñ donoñ shākī rahā ye bhī na huā vo bhī na huā

    is lab liyā bosa na kabhū haihāt na lipTā paañv se

    dil tujh se ba-rañg-e-pān-o-hinā ye bhī na huā vo bhī na huā

    majnūñ to phirā jañgal jañgal farhād ne chīrā koh-e-dilā

    maiñ aah rahā be-dast-o-pā ye bhī na huā vo bhī na huā

    din ko bhī na dekhā ham ne use shab-e-ḳhvāb meñ bhī yaaro na milā

    is tāle.a-e-ḳhufta hove burā ye bhī na huā vo bhī na huā

    nazdīk 'nasīr' apne āsāñ farmā.ish thī goyā ye ġhazal

    kuchh us bhī kahnā mushkil thā ye bhī na huā vo bhī na huā

    chhoDa na tujhe ne ram kya ye bhi na hua wo bhi na hua

    hum se to but-e-kafir ba-KHuda ye bhi na hua wo bhi na hua

    afsos adam se aa ke kya kiya hum ne gulshan-e-hasti mein

    jun shabnam-o-gul roya na hansa ye bhi na hua wo bhi na hua

    us aaina-ru ke wasl mein bhi mushtaq-e-bos-o-kanar rahe

    ai aalam-e-hairat tere siwa ye bhi na hua wo bhi na hua

    dil ku-e-butan mein ja baiTha dam KHana-e-tan ko chhoD gaya

    haif aaKHir-e-kar rafiq apna ye bhi na hua wo bhi na hua

    ya bahr-e-tawaf-e-kaba gae ya moatakif-e-but-KHana hue

    kya shaiKH-o-barhaman hum ne kiya ye bhi na hua wo bhi na hua

    ai qasid-e-ashk-o-paik saba us tak na payam-o-KHat pahuncha

    tum kya karo han qismat ka likha ye bhi na hua wo bhi na hua

    khinch us ko na laya jazba-e-dil tasir na kuchh nale hi ne ki

    main donon ka shaki hi raha ye bhi na hua wo bhi na hua

    is lab ka liya bosa na kabhu haihat na lipTa panw se

    dil tujh se ba-rang-e-pan-o-hina ye bhi na hua wo bhi na hua

    majnun to phira jangal jangal farhad ne chira koh-e-dila

    main aah raha be-dast-o-pa ye bhi na hua wo bhi na hua

    din ko bhi na dekha hum ne use shab-e-KHwab mein bhi yaro na mila

    is talea-e-KHufta ka howe bura ye bhi na hua wo bhi na hua

    nazdik 'nasir' apne aasan farmaish thi goya ye ghazal

    kuchh us ka bhi kahna mushkil tha ye bhi na hua wo bhi na hua

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Shah Naseer Edited: Tanwir Ahmad Alvi (Pg. 344)
    • Author : Shah Naseer
    • Publication : Majlis-e-Taraqqi Adab, Lahur (1971)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now