haar bana in para-e-dil ka mang na gajra phulon ka
haar banā in pārā-e-dil kā maañg na gajrā phūloñ kā
aur kahāñ se āshiq-e-muflis ye gahnā phūloñ kā
dekhe hai vo sehn-e-chaman meñ jā ke tamāshā phūloñ kā
dāġhoñ se ban jaaye ye siina kaash ki taḳhta phūloñ kā
kaash dil-e-sad-chāk ye ban kar bechne vaalā phūloñ kā
kū-e-butāñ meñ jā ke pukāre lo koī gajrā phūloñ kā
harf nahīñ hai dīda-e-tar TukḌoñ se jigar ke laa.eq par
sail-e-ashk ko dariyā samjho us ko nivāḌā phūloñ kā
sub.h nahīñ be-vaj.h jalā.e laale ne gulshan meñ charāġh
dekh ruḳh-e-gulnār-e-sanam niklā hai vo laala phūloñ kā
mujh ko na le chal bād-e-bahārī rañg-e-chaman hai vahshat-ḳhez
jeb se le kar dāman tak sau TukḌe kartā phūloñ kā
tū ne liTāyā añgāroñ par sub.h talak ai va.ada-ḳhilāf
terī ḳhātir ham ne kiyā thā shab ko bichhaunā phūloñ kā
silk-e-sarishk-e-surḳh zamīñ tak tujh ko dikhāve mizhgāñ se
phuljhaḌī aisī chhoḌ koī huuñ maiñ bhī lachhā phūloñ kā
kaan se tere jhuk jhuk kar ye letā hai bose aariz ke
yā to hamāre TukḌe kar yā toḌ ye baalā phūloñ kā
dhuup meñ us kā haaye qafas sayyād sitam ījād rakhe
rahtā thā jis murġh-e-chaman ke sar par saayā phūloñ kā
jhal khaa.e aġhyār na kyūñ-kar kal-e-chilvan se haath nikāl
maarā thā us parda-nashīñ ne mujh ko pañkhā phūloñ kā
ishq meñ tere gul khā kar jaan apnī dī hai 'nasīr' ne aah
us ke sar-e-marqad par gul rolā koī donā phūloñ kā
haar bana in para-e-dil ka mang na gajra phulon ka
aur kahan se aashiq-e-muflis ye gahna phulon ka
dekhe hai wo sehn-e-chaman mein ja ke tamasha phulon ka
daghon se ban jaye ye sina kash ki taKHta phulon ka
kash dil-e-sad-chaak ye ban kar bechne wala phulon ka
ku-e-butan mein ja ke pukare lo koi gajra phulon ka
harf nahin hai dida-e-tar TukDon se jigar ke laeq par
sail-e-ashk ko dariya samjho us ko niwaDa phulon ka
subh nahin be-wajh jalae lale ne gulshan mein charagh
dekh ruKH-e-gulnar-e-sanam nikla hai wo lala phulon ka
mujh ko na le chal baad-e-bahaari rang-e-chaman hai wahshat-KHez
jeb se le kar daman tak sau TukDe karta phulon ka
tu ne liTaya angaron par subh talak ai wada-KHilaf
teri KHatir hum ne kiya tha shab ko bichhauna phulon ka
silk-e-sarishk-e-surKH zamin tak tujh ko dikhawe mizhgan se
phuljhaDi aisi chhoD koi hun main bhi lachha phulon ka
kan se tere jhuk jhuk kar ye leta hai bose aariz ke
ya to hamare TukDe kar ya toD ye baala phulon ka
dhup mein us ka haye qafas sayyaad sitam ijad rakhe
rahta tha jis murgh-e-chaman ke sar par saya phulon ka
jhal khae aghyar na kyun-kar kal-e-chilwan se hath nikal
mara tha us parda-nashin ne mujh ko pankha phulon ka
ishq mein tere gul kha kar jaan apnī di hai 'nasir' ne aah
us ke sar-e-marqad par gul rola koi dona phulon ka
- Book : Kulliyat-e-Shah Naseer Edited: Tanwir Ahmad Alvi (Pg. 350)
- Author : Shah Naseer
- Publication : Majlis-e-Taraqqi Adab, Lahur (1971)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.