phenk kar barchhi nigah ki dil pe kyun khinche hain aap
pheñk kar barchhī nigah kī dil pe kyuuñ khīñche haiñ aap
māhī-e-dariyā nahīñ sāhil pe kyuuñ khīñche haiñ aap
naqsh nūr-e-mehr hai aḳhtar jo us ke muñh chaḌhe
is qadar duur aap ko ik til pe kyuuñ khīñche haiñ aap
qābil-e-sohbat tumhāre aur haiñ haihāt aap
haath ko mere sar-e-mahfil ye kyuuñ khīñche haiñ aap
dekho kū-e-yār meñ mat hazrat-e-dil rāh-e-ashk
intizār-e-qāfila manzil pe kyuuñ khīñche haiñ aap
ḳhāna-e-tan meñ mire sahmī hai jaañ abrū-kamāñ
tīr-e-mizhgāñ dekh-bhāl us dil pe kyuuñ khīñche haiñ aap
sārbān-e-fāqa-e-lailā se kyā kahtā hai qais
aaj Dore parda-e-mahmil pe kyuuñ khīñche haiñ aap
koī dam duniyā kī us ko aur khāne do havā
teġh bismillāh kah bismil pe kyuuñ khīñche haiñ aap
naqsh biThlānā dil-e-shīrīñ pe thā ai kohkan
is kā naqsha sañg kī us sil pe kyuuñ khīñche haiñ aap
koī us kā ho garebāñ-gīr ye kahtā nahīñ
bāġhbāñ dāmān-e-gul ko gul pe kyuuñ khīñche haiñ aap
tum to daanā ho kaheñ kyā ai 'nasīr' itnā ye rañj
mazra.a duniyā-e-lā-hāsil pe kyuuñ khīñche haiñ aap
phenk kar barchhi nigah ki dil pe kyun khinche hain aap
mahi-e-dariya nahin sahil pe kyun khinche hain aap
naqsh nur-e-mehr hai aKHtar jo us ke munh chaDhe
is qadar dur aap ko ek til pe kyun khinche hain aap
qabil-e-sohbat tumhaare aur hain haihat aap
hath ko mere sar-e-mahfil ye kyun khinche hain aap
dekho ku-e-yar mein mat hazrat-e-dil rah-e-ashk
intizar-e-qafila manzil pe kyun khinche hain aap
KHana-e-tan mein mere sahmi hai jaan abru-kaman
tir-e-mizhgan dekh-bhaal us dil pe kyun khinche hain aap
sarban-e-faqa-e-laila se kya kahta hai qais
aaj Dore parda-e-mahmil pe kyun khinche hain aap
koi dam duniya ki us ko aur khane do hawa
tegh bismillah kah bismil pe kyun khinche hain aap
naqsh biThlana dil-e-shirin pe tha ai kohkan
is ka naqsha sang ki us sil pe kyun khinche hain aap
koi us ka ho gareban-gir ye kahta nahin
baghban daman-e-gul ko gul pe kyun khinche hain aap
tum to dana ho kahen kya ai 'nasir' itna ye ranj
mazra duniya-e-la-hasil pe kyun khinche hain aap
- Book : Kulliyat-e-Shah Naseer Edited: Tanwir Ahmad Alvi (Pg. 394)
- Author : Shah Naseer
- Publication : Majlis-e-Taraqqi Adab, Lahur (1971)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.