tu ne jo ki ai jaan-e-mahfil jaane ki tayyari raat
tū ne jo kī ai jān-e-mahfil jaane kī tayyārī raat
sham.a ne phir suulī par kaaTī rote rote saarī raat
baḳht-e-siyah kyā apne kahiye tū jo na aayā māh-jabīñ
taare ginte sub.h kī ham ne āñkhoñ meñ añdhiyārī raat
dil ne to aap ko rokā thā jaane se vahāñ ke lekin aah
le ga.ī thī bīmār ko us ke kūche meñ nā-chārī raat
chashm-e-qamar kī tarah lagtī hī nahīñ be-mehr zarā
sone kab detī hai pal-bhar tujh bin ye bedārī raat
din bhī guzrā shaam huī par ḳhuub tum aa.e merī jaan
karnī paḌī us dil kī apne-āp hameñ dildārī raat
bhuul gayā vo sair-e-tamāshā dekh ke ātish-bāzī kā
āh-e-sharar-afshāñ ne aisī dikhlā.ī gul-kārī raat
dekhiye ham se kab vo milegā rashk-e-qamar ai vaa.e 'nasīr'
din to guzārā jūñ-tūñ kar hai qahr-e-qayāmat bhārī raat
tu ne jo ki ai jaan-e-mahfil jaane ki tayyari raat
shama ne phir suli par kaTi rote rote sari raat
baKHt-e-siyah kya apne kahiye tu jo na aaya mah-jabin
tare ginte subh ki hum ne aankhon mein andhiyari raat
dil ne to aap ko roka tha jaane se wahan ke lekin aah
le gai thi bimar ko us ke kuche mein na-chaari raat
chashm-e-qamar ki tarah lagti hi nahin be-mehr zara
sone kab deti hai pal-bhar tujh bin ye bedari raat
din bhi guzra sham hui par KHub tum aae meri jaan
karni paDi us dil ki apne-ap hamein dildari raat
bhul gaya wo sair-e-tamasha dekh ke aatish-bazi ka
aah-e-sharar-afshan ne aisi dikhlai gul-kari raat
dekhiye hum se kab wo milega rashk-e-qamar ai wae 'nasir'
din to guzara jun-tun kar hai qahr-e-qayamat bhaari raat
- Book : Kulliyat-e-Shah Naseer Edited: Tanwir Ahmad Alvi (Pg. 416)
- Author : Shah Naseer
- Publication : Majlis-e-Taraqqi Adab, Lahur (1971)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.