jab ki chashm-e-surma sa apnī dikha jate ho tum
jab ki chashm-e-surma sā apnī dikhā jaate ho tum
ḳhaak meñ ham ko baras sūrat milā jaate ho tum
sho.ala-e-ātish sarāpā ban ke ai gulgūñ qabā
aag mere dil meñ dar-parda lagā jaate ho tum
kaan kā baalā hai yā girdāb-e-bahr-e-husn hai
kashti-e-dil ko jo merī ab Dubā jaate ho tum
chhoḌ do ai hazrat-e-dil un kī zulfoñ kā ḳhayāl
har kisī ke daam meñ be-vaj.h aa jaate ho tum
haar phūloñ kā pahante ho to ham-bistar bhī ho
varna añgāroñ pe kyuuñ mujh ko luTā jaate ho tum
jalva-e-qāmat tumhārā kam qayāmat se nahīñ
fitna-e-ḳhvābīda ko aa kar jagā jaate ho tum
sar paTakte haiñ paḌe ham halqa-e-dar kī tarah
chāk-e-dar se jab kabhī āñkheñ laḌā jaate ho tum
kaan kā motī chhupāo tifl-e-nādāñ hai ye dil
us ko luulū se hamesha kyuuñ Darā jaate ho tum
chain se sone do Tak āsūdgān-e-ḳhāk ko
sar pa ik shor-e-qayāmat kyuuñ uThā jaate ho tum
huuñ giraftār-e-qafas ai ham-safīrān-e-chaman
nāla-hā-e-zār kyuuñ apne sunā jaate ho tum
kyuuñ na hañs-hañs kar jalūñ juuñ kāġhaz-e-ātish-zada
jis tamāshe ke liye mujh ko jalā jaate ho tum
jaan kho baiThegā apnī ye 'nasīr'-e-ḳhasta-dil
us ke pahlū se ab uTh kar ghar ko kyā jaate ho tam
jab ki chashm-e-surma sa apnī dikha jate ho tum
KHak mein hum ko baras surat mila jate ho tum
shoala-e-atish sarapa ban ke ai gulgun qaba
aag mere dil mein dar-parda laga jate ho tum
kan ka baala hai ya girdab-e-bahr-e-husn hai
kashti-e-dil ko jo meri ab Duba jate ho tum
chhoD do ai hazrat-e-dil un ki zulfon ka KHayal
har kisi ke dam mein be-wajh aa jate ho tum
haar phulon ka pahante ho to ham-bistar bhi ho
warna angaron pe kyun mujh ko luTa jate ho tum
jalwa-e-qamat tumhaara kam qayamat se nahin
fitna-e-KHwabida ko aa kar jaga jate ho tum
sar paTakte hain paDe hum halqa-e-dar ki tarah
chaak-e-dar se jab kabhī aankhen laDa jate ho tum
kan ka moti chhupao tifl-e-nadan hai ye dil
us ko lulu se hamesha kyun Dara jate ho tum
chain se sone do Tak aasudgan-e-KHak ko
sar pa ek shor-e-qayamat kyun uTha jate ho tum
hun giraftar-e-qafas ai ham-safiran-e-chaman
nala-ha-e-zar kyun apne suna jate ho tum
kyun na hans-hans kar jalun jun kaghaz-e-atish-zada
jis tamashe ke liye mujh ko jala jate ho tum
jaan kho baiThega apnī ye 'nasir'-e-KHasta-dil
us ke pahlu se ab uTh kar ghar ko kya jate ho tam
- Book : Kulliyat-e-Shah Naseer-II Edited: Tanwir Ahmad Alvi (Pg. 295)
- Author : Shah Naseer
- Publication : Majlis-e-Taraqqi Adab, Lahur (1971)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.