nahana mat tu ai rashk-e-pari zinhaar pani mein
nahānā mat tū ai rashk-e-parī zinhār paanī meñ
habāb aisā na ho shīsha bane ik baar paanī meñ
sunā ai bahr-e-ḳhūbī terī aTkhelī se chalne kī
uḌaa.ī rafta rafta mauj ne raftār paanī meñ
jhalak us tere kafash-e-pusht-e-māhī kī agar dekhe
kare qālib thī maahī bhī phir lāchār paanī meñ
nahīñ laḳht-e-jigar ye chashm meñ phirte ki mardum ne
charāġh ab karke raushan chhoḌe haiñ do-chār paanī meñ
lab-e-dariyā pe dekh aa kar tamāshā aaj holī kā
bhañvar kā le ke daf baaje hai mauj ai yaar paanī meñ
kahūñ kyā saath ġhairoñ ke to is be-dīd ne hamdam
nahāne ke liye hargiz na kī takrār paanī meñ
kahā maiñ ne jo itnā rakh qadam us dīda-e-tar par
lagā kahne ki aatī hai mirī paizār paanī meñ
'nasīr' āsāñ nahīñ ye baat paanī saḳht mushkil hai
uThā.ī reḳhte kī tū ne kyā dīvār paanī meñ
nahana mat tu ai rashk-e-pari zinhaar pani mein
habab aisa na ho shisha bane ek bar pani mein
suna ai bahr-e-KHubi teri aTkheli se chalne ki
uDai rafta rafta mauj ne raftar pani mein
jhalak us tere kafash-e-pusht-e-mahi ki agar dekhe
kare qalib thi mahi bhi phir lachaar pani mein
nahin laKHt-e-jigar ye chashm mein phirte ki mardum ne
charagh ab karke raushan chhoDe hain do-chaar pani mein
lab-e-dariya pe dekh aa kar tamasha aaj holi ka
bhanwar ka le ke daf baje hai mauj ai yar pani mein
kahun kya sath ghairon ke to is be-did ne hamdam
nahane ke liye hargiz na ki takrar pani mein
kaha main ne jo itna rakh qadam us dida-e-tar par
laga kahne ki aati hai meri paizar pani mein
'nasir' aasan nahin ye baat pani saKHt mushkil hai
uThai reKHte ki tu ne kya diwar pani mein
- Book : Kulliyat-e-Shah Naseer-II Edited: Tanwir Ahmad Alvi (Pg. 326)
- Author : Shah Naseer
- Publication : Majlis-e-Taraqqi Adab, Lahur (1971)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.