meri aah-e-jigar se kyun na howe ab asar paida
mirī āh-e-jigar se kyuuñ na hove ab asar paidā
vahīñ to sher rahtā hai jahāñ hotā hai sar paidā
tamannā ishq kī rakhnā ġhalat-fahmī hai piirī meñ
kahīñ afsurda ḳhākistar se hotā hai sharar paidā
rag-e-jāñ ke ta.iiñ majnūñ kī kyā fassād pahchāne
mizha se chashm-e-lailā ke hai is ko neshtar paidā
ta.ayyun se nikal is beza-e-aflāk ke ai dil
tahayya arsh par uḌne kā hai kar bāl-o-par paidā
ḳhudā-hāfiz hai bahr-e-ishq meñ is dil kī kashtī kā
ki hai chīn-e-jabīn-e-yār se mauj-e-digar paidā
gadā ko kyuuñ na sayyāhī kī lazzat ho ki hotā hai
nayā daana nayā paanī nayā ik aur ghar paidā
yahāñ tak ḳhaak kā rutba hai is aalam meñ ab jis se
kiyā hai shīsha-e-sā.at ne asbāb-e-safar paidā
dharā hai ashk kis kī chashm meñ juz dīda-e-āshiq
nahīñ dekhā hai ye har ik sadaf se ho guhar paidā
faqat kuchh taur par jalva na thā ā.īne meñ bhī hai
'nasīr' us kī tajallī hai ba-ā.īn-e-digar paidā
meri aah-e-jigar se kyun na howe ab asar paida
wahin to sher rahta hai jahan hota hai sar paida
tamannā ishq ki rakhna ghalat-fahmi hai piri mein
kahin afsurda KHakistar se hota hai sharar paida
rag-e-jaan ke tain majnun ki kya fassad pahchane
mizha se chashm-e-laila ke hai is ko neshtar paida
tayyun se nikal is beza-e-aflak ke ai dil
tahayya arsh par uDne ka hai kar baal-o-par paida
KHuda-hafiz hai bahr-e-ishq mein is dil ki kashti ka
ki hai chin-e-jabin-e-yar se mauj-e-digar paida
gada ko kyun na sayyahi ki lazzat ho ki hota hai
naya dana naya pani naya ek aur ghar paida
yahan tak KHak ka rutba hai is aalam mein ab jis se
kiya hai shisha-e-saat ne asbab-e-safar paida
dhara hai ashk kis ki chashm mein juz dida-e-ashiq
nahin dekha hai ye har ek sadaf se ho guhar paida
faqat kuchh taur par jalwa na tha aaine mein bhi hai
'nasir' us ki tajalli hai ba-ain-e-digar paida
- Book : Kulliyat-e-Shah Naseer Edited: Tanwir Ahmad Alvi (Pg. 223)
- Author : Shah Naseer
- Publication : Majlis-e-Taraqqi Adab, Lahur (1971)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.