kya hua gar chashm-e-tar se KHun Tapak kar rah gaya
kyā huā gar chashm-e-tar se ḳhuuñ Tapak kar rah gayā
bāda-e-gulgūñ kā sāgar thā chhalak kar rah gayā
dil svād-e-zulf meñ DhūñDhe hai rasta maañg kā
raah jo bhūlā musāfir so bhaTak kar rah gayā
saiñkaḌoñ mar mar ga.e haiñ ishq ke hāthoñ se aah
maiñ hī kyā patthar se apnā sar paTak kar rah gayā
ham-rahāñ pahuñche kabhī ke manzil-e-maqsūd ko
do-qadam chalte hī meñ haihāt thak kar rah gayā
juuñ qafas meñ bulbul-e-shorīda-sar taḌpe hai aah
sīna-e-sad-chāk meñ yuuñ dil phaḌak kar rah gayā
shāyad us ā.īna-rū ke hai bharā dil meñ ġhubār
ḳhaak āshiq par jo vo dāman jhaTak kar rah gayā
surḳh-kashka us but-e-mad-hosh kī peshānī pe dekh
tā-falak sho.ala mire dam se bhaḌak kar rah gayā
kyā hī abtar hai na soyā tifl-e-ashk ai mardumāñ
panja-e-mizgāñ se maiñ us ko thapak kar rah gayā
uḌ ga.e kabk-e-darī ke hosh to kab ke the laik
jab tirī raftār ko dekhā bhaTak kar rah gayā
ek dam kī bhī milī fursat na ghāyal ko tire
teġh ke lagte hī bas vo to sisak kar rah gayā
taab us baale ke motī kī nahīñ kyā zulf meñ
ai dil-e-āshufta sach kah kyuuñ tū tak kar rah gayā
sar-zamīn-e-shām meñ taarā girā hai TuuT kar
yā añdherī raat meñ jugnū chamak kar rah gayā
taraful-ain us kī mizhgāñ ke tasavvur se 'nasīr'
ḳhaar sā āñkhoñ meñ merī kuchh khaTak kar rah gayā
kya hua gar chashm-e-tar se KHun Tapak kar rah gaya
baada-e-gulgun ka sagar tha chhalak kar rah gaya
dil swad-e-zulf mein DhunDhe hai rasta mang ka
rah jo bhula musafir so bhaTak kar rah gaya
sainkaDon mar mar gae hain ishq ke hathon se aah
main hi kya patthar se apna sar paTak kar rah gaya
ham-rahan pahunche kabhī ke manzil-e-maqsud ko
do-qadam chalte hi mein haihat thak kar rah gaya
jun qafas mein bulbul-e-shorida-sar taDpe hai aah
sina-e-sad-chaak mein yun dil phaDak kar rah gaya
shayad us aaina-ru ke hai bhara dil mein ghubar
KHak aashiq par jo wo daman jhaTak kar rah gaya
surKH-kashka us but-e-mad-hosh ki peshani pe dekh
ta-falak shoala mere dam se bhaDak kar rah gaya
kya hi abtar hai na soya tifl-e-ashk ai marduman
panja-e-mizgan se main us ko thapak kar rah gaya
uD gae kabk-e-dari ke hosh to kab ke the laik
jab teri raftar ko dekha bhaTak kar rah gaya
ek dam ki bhi mili fursat na ghayal ko tere
tegh ke lagte hi bas wo to sisak kar rah gaya
tab us baale ke moti ki nahin kya zulf mein
ai dil-e-ashufta sach kah kyun tu tak kar rah gaya
sar-zamin-e-sham mein tara gira hai TuT kar
ya andheri raat mein jugnu chamak kar rah gaya
taraful-ain us ki mizhgan ke tasawwur se 'nasir'
KHar sa aankhon mein meri kuchh khaTak kar rah gaya
- Book : Kulliyat-e-Shah Naseer Edited: Tanwir Ahmad Alvi (Pg. 260)
- Author : Shah Naseer
- Publication : Majlis-e-Taraqqi Adab, Lahur (1971)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.