bas mein kar un ungliyon ke tu na poron ko hina
bas meñ kar un uñgliyoñ ke tū na poroñ ko hinā
haath lag jaaye to duuñ maiñ tujh ko choroñ ko hinā
ahl-e-duniyā ke kab aayā rañg-e-darveshī kā haath
kyā lagānā chāhai hāthoñ meñ goroñ ko hinā
ai sabā kyā muñh hai jo da.avā-e-ham-rañgī kare
dekh kar gulshan meñ phūloñ ke kaToroñ ko hinā
suraḳh-rū mehñdī lagā kar kyā ho ma.ashūq-e-habash
jab lagāne baiThe tū hāthoñ meñ goroñ ko hinā
dar pe lagvātā hai gar apne shahīdoñ kī sabīl
to phir ai qātil lagā tū āb-ḳhoroñ ko hinā
nāḳhun-e-añgusht-e-dast-e-mahvshāñ ko kar ke surḳh
misl-e-aḳhgar kar dikhātī hai chakoroñ ko hinā
rakh dil par daaġh mat is kā ḳhayāl-e-ḳhat-e-sabz
paañv se milte nahīñ dekhā hai moroñ ko hinā
dil se tū pis jaaye sar se qasd-e-pā-bosī kare
gar tire āñkhoñ ke dekhe surḳh Doroñ ko hinā
mat milā mah-tal.atoñ se haath kyuuñ tuḌvā.e hai
panja-e-ḳhurshīd se pūchh un ke zoroñ ko hinā
juuñ rag-e-barg-e-gul-e-ahmar banā de hai yahāñ
do ghaḌī meñ us ke har nāḳhun kī koroñ ko hinā
mehr-o-mah rañg-e-shafaq se surḳh haiñ ye sub.h-o-shām
milte haiñ ḳhūn-e-jigar dekh un sakoroñ ko hinā
duzdī-e-rañg-e-hinā.ī jo kare haiñ ai 'nasīr'
de hai hāthoñ-hāth bandhvā aise choroñ ko hinā
bas mein kar un ungliyon ke tu na poron ko hina
hath lag jaye to dun main tujh ko choron ko hina
ahl-e-duniya ke kab aaya rang-e-darweshi ka hath
kya lagana chahai hathon mein goron ko hina
ai saba kya munh hai jo dawa-e-ham-rangi kare
dekh kar gulshan mein phulon ke kaToron ko hina
suraKH-ru mehndi laga kar kya ho mashuq-e-habash
jab lagane baiThe tu hathon mein goron ko hina
dar pe lagwata hai gar apne shahidon ki sabil
to phir ai qatil laga tu aab-KHoron ko hina
naKHun-e-angusht-e-dast-e-mahwshan ko kar ke surKH
misl-e-aKHgar kar dikhati hai chakoron ko hina
rakh dil par dagh mat is ka KHayal-e-KHat-e-sabz
panw se milte nahin dekha hai moron ko hina
dil se tu pis jaye sar se qasd-e-pa-bosi kare
gar tere aankhon ke dekhe surKH Doron ko hina
mat mila mah-talaton se hath kyun tuDwae hai
panja-e-KHurshid se puchh un ke zoron ko hina
jun rag-e-barg-e-gul-e-ahmar bana de hai yahan
do ghaDi mein us ke har naKHun ki koron ko hina
mehr-o-mah rang-e-shafaq se surKH hain ye subh-o-sham
milte hain KHun-e-jigar dekh un sakoron ko hina
duzdi-e-rang-e-hinai jo kare hain ai 'nasir'
de hai hathon-hath bandhwa aise choron ko hina
- Book : Kulliyat-e-Shah Naseer Edited: Tanwir Ahmad Alvi (Pg. 301)
- Author : Shah Naseer
- Publication : Majlis-e-Taraqqi Adab, Lahur (1971)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.