dagh-e-sina jab mera mehr-e-daraKHshan bin gaya
dāġh-e-sīna jab mirā mehr-e-daraḳhshāñ bin gayā
sub.h-e-sādiq kī tarah chāk-e-garebāñ ban gayā
nāla-e-bulbul kī kyā tāsīr shor-añgez hai
qatra-e-shabnam se zaḳhm-e-gul namak-dāñ ban gayā
sair ai abr-e-bahārī phir tujhe dikhlā.eñge
paaT dariyā kā agar girye se dāmāñ ban gayā
shīsha-e-dil meñ hai be-Dhab us parī-rū kā ḳhayāl
daaġh us ke muñh pe kyā mohr-e-sulaimāñ ban gayā
tāle.a-e-bargashta kā kis se gilā apne karūñ
dost-dār apnā jo thā so dushman-e-jāñ ban gayā
rañg-e-dast āvaez-e-ulfat dekh kahtī hai hinā
ab to hāthoñ-hāth saudā tujh se jānāñ ban gayā
kyā hue tashrīf-farmā hazrat-e-ishq ai 'nasīr'
siina dāġhoñ se tarā rashk-e-gulistāñ ban gayā
dagh-e-sina jab mera mehr-e-daraKHshan bin gaya
subh-e-sadiq ki tarah chaak-e-gareban ban gaya
nala-e-bulbul ki kya tasir shor-angez hai
qatra-e-shabnam se zaKHm-e-gul namak-dan ban gaya
sair ai abr-e-bahaari phir tujhe dikhlaenge
paT dariya ka agar girye se daman ban gaya
shisha-e-dil mein hai be-Dhab us pari-ru ka KHayal
dagh us ke munh pe kya mohr-e-sulaiman ban gaya
talea-e-bargashta ka kis se gila apne karun
dost-dar apna jo tha so dushman-e-jaan ban gaya
rang-e-dast aawaez-e-ulfat dekh kahti hai hina
ab to hathon-hath sauda tujh se jaanan ban gaya
kya hue tashrif-farma hazrat-e-ishq ai 'nasir'
sina daghon se tara rashk-e-gulistan ban gaya
- Book : Kulliyat-e-Shah Naseer Edited: Tanwir Ahmad Alvi (Pg. 305)
- Author : Shah Naseer
- Publication : Majlis-e-Taraqqi Adab, Lahur (1971)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.