tumhaare daur mein humne saqi ajab hi daur-e-sharab dekha
tumhaare daur mein humne saqi ajab hi daur-e-sharab dekha
Shah Niyaz Ahmad Barelvi
MORE BYShah Niyaz Ahmad Barelvi
tumhāre daur meñ ham ne saaqī ajab hī daur-e-sharāb dekhā
idhar to vaa.iz girā paḌā thā udhar ko zāhid ḳharāb dekhā
jo ek jhapkī meñ juz se kul ho aur ek qatra se hue dariyā
tamām a.alam meñ tū ne hamdam koī bhī misl-e-habāb dekhā
vo mast mai-ḳhvār idhar ko aayā magar ye lālach hī us ko laayā
ke mere ḳhuuñ ko sharāb-e-gul-gūñ dil-o-jigar ko kabāb dekhā
tumhāre mukhḌe ko nīche zulfoñ ke dekh kar kyā misāl kahiye
barā.e guftan magar ye kahiye ke mehr zer-e-sahāb dekhā
nahīñ hai dhokā kuchh is meñ ai dil ke hai ye dhokā tilism-e-a.alam
jo kuchh sunā thā so hai fasāna jo kuchh ke dekhā so ḳhvāb dekhā
'niyāz' aisā valī-e-bar-haq ki pīr-e-murshid ho auliyā kā
batā to ummat meñ is nabī kī koī bhī bin bū-turāb dekhā
tumhaare daur mein hum ne saqi ajab hi daur-e-sharab dekha
idhar to waiz gira paDa tha udhar ko zahid KHarab dekha
jo ek jhapki mein juz se kul ho aur ek qatra se hue dariya
tamam aalam mein tu ne hamdam koi bhi misl-e-habab dekha
wo mast mai-KHwar idhar ko aaya magar ye lalach hi us ko laya
ke mere KHun ko sharab-e-gul-gun dil-o-jigar ko kabab dekha
tumhaare mukhDe ko niche zulfon ke dekh kar kya misal kahiye
barae guftan magar ye kahiye ke mehr zer-e-sahab dekha
nahin hai dhoka kuchh is mein ai dil ke hai ye dhoka tilism-e-alam
jo kuchh suna tha so hai fasana jo kuchh ke dekha so KHwab dekha
'niyaz' aisa wali-e-bar-haq ki pir-e-murshid ho auliya ka
bata to ummat mein is nabi ki koi bhi bin bu-turab dekha
- Book : Diwan-e-Niaz-e-Be-Niaz (Pg. 129)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.