jab bar dar-e-dil hazrat-e-ishq aan pukare
jab bar dar-e-dil hazrat-e-ishq aan pukare
Shah Niyaz Ahmad Barelvi
MORE BYShah Niyaz Ahmad Barelvi
jab bar dar-e-dil hazrat-e-'ishq aan pukāre
gosha huī 'aql aur hue ausān kināre
baazī vahī le jā.egā is khel meñ ai dil
jo pahle kaTā mohara jaan apnī ko haare
gar husn meñ ham-sar haiñ tumhāre mah-o-ḳhurshīd
din raat ye kyuuñ hote haiñ qurbān tumhāre
jo silsila-e-zulf ke haiñ dast-girifta
phirte haiñ sarāsīma pareshān bechāre
pal maare to Duube hai abhī zouraq-e-gardūñ
tūfāñ pe haiñ ye dīda-e-giriyān hamāre
gar rustam-o-suhrāb haiñ aise hī dilāvar
hoveñ to bhalā 'ishq ke maidāñ meñ utāre
kal daura majnūñ thā 'niyāz' aaj hai apnā
naubat ke baje bar-sar-e-daurān naqqāre
jab bar dar-e-dil hazrat-e-'ishq aan pukare
gosha hui 'aql aur hue ausan kinare
bazi wahi le jaega is khel mein ai dil
jo pahle kaTa mohara jaan apni ko haare
gar husn mein ham-sar hain tumhaare mah-o-KHurshid
din raat ye kyun hote hain qurban tumhaare
jo silsila-e-zulf ke hain dast-girifta
phirte hain sarasima pareshan bechaare
pal mare to Dube hai abhi zouraq-e-gardun
tufan pe hain ye dida-e-giriyan hamare
gar rustam-o-suhrab hain aise hi dilawar
howen to bhala 'ishq ke maidan mein utare
kal daura majnun tha 'niyaz' aaj hai apna
naubat ke baje bar-sar-e-dauran naqqare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.