dasht-e-paimai se hai apni bayaban nazan
dasht-e-paimai se hai apni bayaban nazan
Shah Niyaz Ahmad Barelvi
MORE BYShah Niyaz Ahmad Barelvi
dasht-e-paimā.ī se hai apnī bayābāñ nāzāñ
apnī pā-posh se hai ḳhār-e-muġhīlāñ nāzāñ
chaak hāthoñ se hai jeb ashkoñ se tar hai dāman
jeb nāzāñ hai yahāñ aur vahāñ dāmāñ nāzāñ
bahr-e-zanjīr-e-junūñ hai ye tirī pābandī
aur mirī qaid se hai ḳhāna-e-zindāñ nāzāñ
phañs ga.e daam meñ us ke jo dil-o-jān-e-jahāñ
kyuuñ na dil-jam’ī se ho zulf-e-pareshāñ nāzāñ
tujh se to bujh na sakī ātish-e-ġham bhī ai abr
kaun se kaam pe hai tū are nādāñ nāzāñ
ik zarā hotī hai kam vahshat-e-dil rone se
hai sazā-vār jo hoñ dīda-e-giryāñ nāzāñ
rashk meñ haiñ mire aañsū se tire durr-e-yatīm
mat guhar-rezī pe ho bārish-e-naisāñ nāzāñ
haiñ dil-o-jāñ mire shāh-e-najaf par qurbāñ
ai 'niyāz' is liye haiñ mere dil-o-jāñ nāzāñ
dasht-e-paimai se hai apni bayaban nazan
apni pa-posh se hai KHar-e-mughilan nazan
chaak hathon se hai jeb ashkon se tar hai daman
jeb nazan hai yahan aur wahan daman nazan
bahr-e-zanjir-e-junun hai ye teri pabandi
aur meri qaid se hai KHana-e-zindan nazan
phans gae dam mein us ke jo dil-o-jaan-e-jahan
kyun na dil-jam’i se ho zulf-e-pareshan nazan
tujh se to bujh na saki aatish-e-gham bhi ai abr
kaun se kaam pe hai tu are nadan nazan
ek zara hoti hai kam wahshat-e-dil rone se
hai saza-war jo hon dida-e-giryan nazan
rashk mein hain mere aansu se tere durr-e-yatim
mat guhar-rezi pe ho barish-e-naisan nazan
hain dil-o-jaan mere shah-e-najaf par qurban
ai 'niyaz' is liye hain mere dil-o-jaan nazan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.