mulk-e-KHuda mein yaro aabaad hain to hum hain
mulk-e-KHuda mein yaro aabaad hain to hum hain
Shah Niyaz Ahmad Barelvi
MORE BYShah Niyaz Ahmad Barelvi
mulk-e-ḳhudā meñ yaaro ābād haiñ to ham haiñ
tā'mīr-e-do-jahāñ kī buniyād haiñ to ham haiñ
dekhā parkh-parakh kar āḳhir nazar chaḌhā ye
gar naqd haiñ to ham haiñ naqqād haiñ to ham haiñ
apnā hī dekhte ho tum band-o-bast yaaro
gar daad haiñ to ham haiñ faryād haiñ to ham haiñ
phailā ke dām-e-ulfat ghirte-girāte ham haiñ
gar said haiñ to ham haiñ sayyād haiñ to ham haiñ
Thahrā hai ishq-bāzī din-rāt khel apnā
gar qais haiñ to ham haiñ farhād haiñ to ham haiñ
shādī-o-ġham ye donoñ apnī hī hālateñ haiñ
dil-gīr haiñ to ham haiñ aur shaad haiñ to ham haiñ
kārī-garī kī apne ye sab musavvarī hai
tasvīr haiñ to ham haiñ bahzād haiñ to ham haiñ
hastī ke kāġhazoñ par haiñ dastaḳhat hamāre
gar fard haiñ to ham haiñ aur saad haiñ to ham haiñ
jo kuchh ke ye gaḌat hai so hai haTotī apnī
faulād haiñ to ham haiñ haddād haiñ to ham haiñ
rū-e-zamīñ ke uupar mānind-e-gard-bāde
gar ḳhaak haiñ to ham haiñ aur baad haiñ to ham haiñ
ta.alīm aur ta'allum sab hai niyāz apnā
shāgird haiñ to ham haiñ ustād haiñ to ham haiñ
mulk-e-KHuda mein yaro aabaad hain to hum hain
ta'mir-e-do-jahan ki buniyaad hain to hum hain
dekha parkh-parakh kar aaKHir nazar chaDha ye
gar naqd hain to hum hain naqqad hain to hum hain
apna hi dekhte ho tum band-o-bast yaro
gar dad hain to hum hain faryaad hain to hum hain
phaila ke dam-e-ulfat ghirte-giraate hum hain
gar said hain to hum hain sayyaad hain to hum hain
Thahra hai ishq-bazi din-raat khel apna
gar qais hain to hum hain farhad hain to hum hain
shadi-o-gham ye donon apni hi haalaten hain
dil-gir hain to hum hain aur shad hain to hum hain
kari-gari ki apne ye sab musawwari hai
taswir hain to hum hain bahzad hain to hum hain
hasti ke kaghazon par hain dastaKHat hamare
gar fard hain to hum hain aur sad hain to hum hain
jo kuchh ke ye gaDat hai so hai haToti apni
faulad hain to hum hain haddad hain to hum hain
ru-e-zamin ke upar manind-e-gard-baade
gar KHak hain to hum hain aur baad hain to hum hain
talim aur ta'allum sab hai niyaz apna
shagird hain to hum hain ustad hain to hum hain
- Book : Diwan-e-Niaz-e-Be-Niaz (Pg. 146)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.