aashiq-e-zar hun main talib-e-aram nahin
aashiq-e-zar hun main talib-e-aram nahin
Shah Niyaz Ahmad Barelvi
MORE BYShah Niyaz Ahmad Barelvi
āshiq-e-zār huuñ maiñ tālib-e-ārām nahīñ
nañg-o-nāmūs se kuchh apne ta.iiñ kaam nahīñ
be-sar-o-pā.ī se ushshāq ko ḳhatra kyā hai
asar-e-ishq hai ye gardish-e-ayyām nahīñ
nashsha-e-chashm se huuñ sāqī-e-tauhīd ke mast
ehtiyāj apne ta.iiñ zarf-e-mai-o-jām nahīñ
bul-havas paañv na rakhiyo kabhī is raah ke beach
kūcha-e-ishq hai ye rahguzar-e-ām nahīñ
be-nihāyat hai ke paayā nahīñ jis kā pāyāñ
jis jagah pahuñch.e āġhāz hai anjām nahīñ
a.alam-e-ishq kī duniyā hī nirālī dekhī
sahar-o-shām vahāñ ye sahar-o-shām nahīñ
zāhidā haal mirā dekh ke hairāñ kyuuñ hai
mashrab-e-kufar hai ye millat-e-islām nahīñ
sāqī-e-mast ke dīdār kā sarshār huuñ maiñ
isliye dil ko tamnnā-e-mai-o-jām nahīñ
aar kyā hai tujhe duniyā kī malāmat se 'niyāz'
āshiqoñ meñ tū akelā hī to badnām nahīñ
aashiq-e-zar hun main talib-e-aram nahin
nang-o-namus se kuchh apne tain kaam nahin
be-sar-o-pai se ushshaq ko KHatra kya hai
asar-e-ishq hai ye gardish-e-ayyam nahin
nashsha-e-chashm se hun saqi-e-tauhid ke mast
ehtiyaj apne tain zarf-e-mai-o-jam nahin
bul-hawas panw na rakhiyo kabhi is rah ke beach
kucha-e-ishq hai ye rahguzar-e-am nahin
be-nihayat hai ke paya nahin jis ka payan
jis jagah pahunche aaghaz hai anjam nahin
aalam-e-ishq ki duniya hi nirali dekhi
sahar-o-sham wahan ye sahar-o-sham nahin
zahida haal mera dekh ke hairan kyun hai
mashrab-e-kufar hai ye millat-e-islam nahin
saqi-e-mast ke didar ka sarshaar hun main
isliye dil ko tamnna-e-mai-o-jam nahin
aar kya hai tujhe duniya ki malamat se 'niyaz'
aashiqon mein tu akela hi to badnam nahin
- Book : Diwan-e-Niaz-e-Be-Niaz (Pg. 149)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.