wo yar hai mera are o dekhne walo
vo yaar hai merā are o dekhne vaalo
dekhā na ho gar tum ne ḳhudā dekh lo yaaro
us naqsha kī tasvīr banī hai na banegī
kis haath ke ho tum bane o naqsh-nigāro
hai shāhid-e-gul jalva-numā taḳht-e-chaman par
ai bulbulo sab mil ke chalo jī ko nisāro
dar mulk-e-dilam shāh-e-junūñ laa.e haiñ tashrīf
ai aql-o-ḳhirad ab chalo bāhar ko sidhāro
Thānī hai yahāñ muġhbachoñ ne aaj ye dil meñ
vaa.iz jo mile us ke amāma ko utāro
ai chashm-e-jigar mil ke ba-ham sīna-o-dil saath
dharnā do us yaar ke darvāze pe chāro
kis dil kī imārat huī hai aaj ye mismār
aate ho kahāñ se uThe o gard-o-ġhubāro
kahtā hai 'niyāz' aur ġhazal aisī hī suniyo
kānoñ ko idhar rakh ke zarā husn-shi'āro
wo yar hai mera are o dekhne walo
dekha na ho gar tum ne KHuda dekh lo yaro
us naqsha ki taswir bani hai na banegi
kis hath ke ho tum bane o naqsh-nigaro
hai shahid-e-gul jalwa-numa taKHt-e-chaman par
ai bulbulo sab mil ke chalo ji ko nisaro
dar mulk-e-dilam shah-e-junun lae hain tashrif
ai aql-o-KHirad ab chalo bahar ko sidhaaro
Thani hai yahan mughbachon ne aaj ye dil mein
waiz jo mile us ke amama ko utaro
ai chashm-e-jigar mil ke ba-ham sina-o-dil sath
dharna do us yar ke darwaze pe chaaro
kis dil ki imarat hui hai aaj ye mismar
aate ho kahan se uThe o gard-o-ghubaro
kahta hai 'niyaz' aur ghazal aisi hi suniyo
kanon ko idhar rakh ke zara husn-shi'aro
- Book : Diwan-e-Niaz-e-Be-Niaz (Pg. 151)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.