kahte hain jis ko ishq hamara hi nam hai
kahte hain jis ko ishq hamara hi nam hai
Shah Niyaz Ahmad Barelvi
MORE BYShah Niyaz Ahmad Barelvi
kahte haiñ jis ko ishq hamārā hī naam hai
shor-o-fuġhāñ kī apne yahāñ dhūm-dhām hai
gar phūñk duuñ jahāñ ko to kuchh ajab nahīñ
maiñ aag kā bhabūkā huuñ merā ye kaam hai
hosh-o-ḳhirad se ham ko sarokār kuchh nahīñ
un donoñ sāhiboñ ko hamārā salām hai
manzil hamārī paate haiñ kab shaiḳh-o-barhaman
islām-o-kufr se pare apnā maqām hai
dair-o-haram meñ aur kalīsā kunisht meñ
bhartā hamāre naam kā dam har-kudām hai
par ik 'niyāz' apne se hamrāz hai ke vo
shāh-e-najaf amīr-e-'arab kā ġhulām hai
kahte hain jis ko ishq hamara hi nam hai
shor-o-fughan ki apne yahan dhum-dham hai
gar phunk dun jahan ko to kuchh ajab nahin
main aag ka bhabuka hun mera ye kaam hai
hosh-o-KHirad se hum ko sarokar kuchh nahin
un donon sahibon ko hamara salam hai
manzil hamari pate hain kab shaiKH-o-barhaman
islam-o-kufr se pare apna maqam hai
dair-o-haram mein aur kalisa kunisht mein
bharta hamare nam ka dam har-kudam hai
par ek 'niyaz' apne se hamraaz hai ke wo
shah-e-najaf amir-e-'arab ka ghulam hai
- Book : Diwan-e-Niaz-e-Be-Niaz (Pg. 160)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.