kaif mein Dubi hui hai sajda samani meri
kaif meñ Duubī huī hai sajda sāmān.ī mirī
jhuk ga.ī ye kis ke dar par aaj peshānī mirī
mutma.in the dīda-o-dil jab hijāboñ meñ vo the
un ke jalvoñ ne baḌhā dī aur hairānī mirī
dil gayā vāraftagī-e-shauq bhī jaatī rahī
mere dil ke saath thī āshufta sāmān.ī mirī
maut kā ġham ho mujhe ye ho nahīñ saktā kabhī
maiñ to mutlaq jāvedāñ huuñ ḳhaak hai faanī mirī
maiñ amīn-e-jalva-e-husn-e-azal huuñ dahr meñ
haaye duniyā ne na kuchh bhī qadar pahchānī mirī
ek pal bhī to nahīñ ġham ke safīne ko sukūñ
kyā Dubo degī mujhe ashkoñ kī tuġhyānī mirī
dekhnā ai dil kahīñ ye un kī chaukhaT to nahīñ
kyuuñ uThāne se nahīñ uThtī hai peshānī mirī
dekhne vaale hiqārat kī nigāhoñ se na dekh
nāzish daur junūñ hai chaak dāmānī mirī
ai mazāq jaañ dahī ye aaj tuune kyā kiyā
ho ga.ī mahsūs 'qātil' ko girāñ-jānī mirī
kaif mein Dubi hui hai sajda samani meri
jhuk gai ye kis ke dar par aaj peshani meri
mutmain the dida-o-dil jab hijabon mein wo the
un ke jalwon ne baDha di aur hairani meri
dil gaya waraftagi-e-shauq bhi jati rahi
mere dil ke sath thi aashufta samani meri
maut ka gham ho mujhe ye ho nahin sakta kabhi
main to mutlaq jawedan hun KHak hai fani meri
main amin-e-jalwa-e-husn-e-azal hun dahr mein
haye duniya ne na kuchh bhi qadar pahchani meri
ek pal bhi to nahin gham ke safine ko sukun
kya Dubo degi mujhe ashkon ki tughyani meri
dekhna ai dil kahin ye un ki chaukhaT to nahin
kyun uThane se nahin uThti hai peshani meri
dekhne wale hiqarat ki nigahon se na dekh
nazish daur junun hai chaak damani meri
ai mazaq jaan dahi ye aaj tune kya kiya
ho gai mahsus 'qatil' ko giran-jaani meri
- Book : Deewan-e-Qatil (Pg. 298)
- Author : Shaah Qatil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.