agar parde se bahar wo sarapa nur ho jae
agar parde se bāhar vo sarāpā nuur ho jaa.e
yahīñ ik vādī-e-aiman bane ik tuur ho jaa.e
fuġhān-e-dil shikast-e-sad hijāb-e-nūr ho jaaye
nigāh-e-shauq kyuuñ sahrā-navard-e-tūr ho jaaye
musaḳhḳhar jis nazar ne kar liye kaun-o-makāñ donoñ
'ajab kyā kā.ināt-e-dil agar mas.hūr ho jaaye
tasavvur jab ruḳh-e-tābāñ kā ho merī nigāhoñ meñ
tajallī se bun kaun-o-makāñ mā'mūr ho jaa.e
tumhāre zikr meñ haiñ tīr-o-nashtar ke maze 'qātil'
tumhārā naam taskīn-e-dil-e-ranjūr ho jaa.e
agar parde se bahar wo sarapa nur ho jae
yahin ek wadi-e-aiman bane ek tur ho jae
fughan-e-dil shikast-e-sad hijab-e-nur ho jaye
nigah-e-shauq kyun sahra-naward-e-tur ho jaye
musaKHKHar jis nazar ne kar liye kaun-o-makan donon
'ajab kya kainat-e-dil agar mashur ho jaye
tasawwur jab ruKH-e-taban ka ho meri nigahon mein
tajalli se bun kaun-o-makan ma'mur ho jae
tumhaare zikr mein hain tir-o-nashtar ke maze 'qatil'
tumhaara nam taskin-e-dil-e-ranjur ho jae
- Book : Deewan-e-Qatil (Pg. 297)
- Author : Shaah Qatil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.