ja-ba-ja tum baiThne uThne lage jis-tis ke pas
ja-ba-ja tum baiThne uThne lage jis-tis ke pas
Khwaja Ruknuddin Ishq
MORE BYKhwaja Ruknuddin Ishq
jā-ba-jā tum baiThne uThne lage jis-tis ke paas
kaun kahtā hai kahāñ kis vaqt kis din kis ke paas
naam agar manzūr ho to ye hunar paidā kaaro
imtiyāz aḳhlāq adab dil-jūīyāñ majlis ke paas
lazzateñ donoñ jahānoñ kī huiiñ us ko nasīb
māh-rū sīmīñ-badan ġhuncha-dahan ho jis ke paas
ahl-e-sarvat haiñ jo rakhte haiñ ye daulat yaañ kahāñ
daaġh dil TukḌe jigar ġham dard alam muflis ke paas
'ishq' jaave kaun ghar is ke ba-juz munkir-nakīr
be-zabāñ be-gosh be-dil be-suḳhan behis ke paas
ja-ba-ja tum baiThne uThne lage jis-tis ke pas
kaun kahta hai kahan kis waqt kis din kis ke pas
nam agar manzur ho to ye hunar paida karo
imtiyaz aKHlaq adab dil-juiyan majlis ke pas
lazzaten donon jahanon ki huin us ko nasib
mah-ru simin-badan ghuncha-dahan ho jis ke pas
ahl-e-sarwat hain jo rakhte hain ye daulat yan kahan
dagh dil TukDe jigar gham dard alam muflis ke pas
'ishq' jawe kaun ghar is ke ba-juz munkir-nakir
be-zaban be-gosh be-dil be-suKHan behis ke pas
- Book : Kulliyat-e-Ruknuddin Ishq aur Unki Hayat aur Shaeri (Pg. 113)
- Author : Quraisha Husain
- Publication : The Azad Press, Patna (1979)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.