phule hai garche bagh mein bulbul hazar shaKH
phule hai garche bagh mein bulbul hazar shaKH
Khwaja Ruknuddin Ishq
MORE BYKhwaja Ruknuddin Ishq
phūle hai garche baaġh meñ bulbul hazār shāḳh
us sarv-qad ko dekhe to ho sharmsār shāḳh
do din ke barg-o-bār par bulbul na kar ġhurūr
āḳhir ḳhizāñ meñ ho.egī juuñ chobdār shāḳh
lūTegā sab bahār tirī shahna-e-ḳhizāñ
bulbul par kar le tū zar-e-gul ko nisār shāḳh
chalte haiñ tujh pe sañg-e-havādis isī liye
mahfūz vo hai jo na rakkhe barg-o-bār-e-shāḳh
ḳhvāhish hai aag kī to takalluf ko duur kar
dekhī hai 'ishq' jaltī kabhī meva-dār shāḳh
phule hai garche bagh mein bulbul hazar shaKH
us sarw-qad ko dekhe to ho sharmsar shaKH
do din ke barg-o-bar par bulbul na kar ghurur
aaKHir KHizan mein hoegi jun chobdar shaKH
luTega sab bahaar teri shahna-e-KHizan
bulbul par kar le tu zar-e-gul ko nisar shaKH
chalte hain tujh pe sang-e-hawadis isi liye
mahfuz wo hai jo na rakkhe barg-o-bar-e-shaKH
KHwahish hai aag ki to takalluf ko dur kar
dekhi hai 'ishq' jalti kabhi mewa-dar shaKH
- Book : Kulliyat-e-Ruknuddin Ishq aur Unki Hayat aur Shaeri (Pg. 94)
- Author : Quraisha Husain
- Publication : The Azad Press, Patna (1979)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.