Sufinama

nazar mein jis ki phirti howe us KHunKhaar ki surat

Khwaja Ruknuddin Ishq

nazar mein jis ki phirti howe us KHunKhaar ki surat

Khwaja Ruknuddin Ishq

MORE BYKhwaja Ruknuddin Ishq

    nazar meñ jis phirtī hove us ḳhuñḳhār sūrat

    use hargiz na ḳhush aave gul-o-gulzār sūrat

    baġhair az rū-e-zebā ke jahāñ ā.īna-ḳhāna

    nazar aatā hai āñkhoñ meñ dar-o-dīvār sūrat

    bahā jaatā hai ḳhuuñ āñkhoñ se us ye nishāñ to hai

    vagarna kaun pahchāne tire bīmār sūrat

    araz kyā aur kyā jauhar koī zāhir koī maz.har

    muhaqqiq kahte haiñ un sab ko is dildār sūrat

    ye zor-e-'ishq' hai be-shubah ham bhī tujh se kahte haiñ

    abe suntā hai o zāhid tire inkār sūrat

    nazar mein jis ki phirti howe us KHunKHar ki surat

    use hargiz na KHush aawe gul-o-gulzar ki surat

    baghair az ru-e-zeba ke jahan ka aaina-KHana

    nazar aata hai aankhon mein dar-o-diwar ki surat

    baha jata hai KHun aankhon se us ki ye nishan to hai

    wagarna kaun pahchane tere bimar ki surat

    araz kya aur kya jauhar koi zahir koi mazhar

    muhaqqiq kahte hain un sab ko is dildar ki surat

    ye zor-e-'ishq' hai be-shubah hum bhi tujh se kahte hain

    abe sunta hai o zahid tere inkar ki surat

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Ruknuddin Ishq aur Unki Hayat aur Shaeri (Pg. 86)
    • Author : Quraisha Husain
    • Publication : The Azad Press, Patna (1979)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now