aankh jo dekh ho gae maghrur
aañkh jo dekh ho ga.e maġhrūr
dil pukārā hanūz dillī duur
rū chhupāyā jo mahr se ahmaq
uḌ gayā muñh se shaiḳh-chillī nuur
jabr is is tarah uThā.e haiñ
dekh aalam mujhe huā majbūr
ġhair-e-haq se jo haq ko maañg liyā
shaiḳh-jī par kare na khillī huur
'ishq' kis baat par lagāyā dil
thī butoñ kī to dilbarī mash.hūr
aankh jo dekh ho gae maghrur
dil pukara hanuz dilli dur
ru chhupaya jo mahr se ahmaq
uD gaya munh se shaiKH-chilli nur
jabr is is tarah uThae hain
dekh aalam mujhe hua majbur
ghair-e-haq se jo haq ko mang liya
shaiKH-ji par kare na khilli hur
'ishq' kis baat par lagaya dil
thī buton ki to dilbari mashhur
- Book : Kulliyat-e-Ruknuddin Ishq aur Unki Hayat aur Shaeri (Pg. 101)
- Author : Quraisha Husain
- Publication : The Azad Press, Patna (1979)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.