arsh ta-farsh sair kar dekha
arsh tā-farsh sair kar dekhā
jalva-gar tū huā jidhar dekhā
chashm-e-tahqīq se jahāñ DhūñDā
gabr huuñ tujh sivā agar dekhā
qashriyoñ kī samajh pe hairāñ huuñ
dūsrā hai kahāñ kidhar dekhā
tiir ke naam par taḌaptā hai
is tarah kā kahīñ jigar dekhā
aabla aabla hue sab uzv
naḳhl-e-ulfat ne ye samar dekhā
ḳhabar us kī ko kis se pūchhūñ maiñ
jis ko dekhā so be-ḳhabar dekhā
apne ham-chashm se lagā kahne
nāla-o-āh-o-shor-o-shar dekhā
Tak ek insāf se agar dekho
'ishq' sā koī chashm-e-tar dekhā
arsh ta-farsh sair kar dekha
jalwa-gar tu hua jidhar dekha
chashm-e-tahqiq se jahan DhunDa
gabr hun tujh siwa agar dekha
qashriyon ki samajh pe hairan hun
dusra hai kahan kidhar dekha
tir ke nam par taDapta hai
is tarah ka kahin jigar dekha
aabla aabla hue sab uzw
naKHl-e-ulfat ne ye samar dekha
KHabar us ki ko kis se puchhun main
jis ko dekha so be-KHabar dekha
apne ham-chashm se laga kahne
nala-o-ah-o-shor-o-shar dekha
Tak ek insaf se agar dekho
'ishq' sa koi chashm-e-tar dekha
- Book : Kulliyat-e-Ruknuddin Ishq aur Unki Hayat aur Shaeri (Pg. 2)
- Author : Quraisha Husain
- Publication : The Azad Press, Patna (1979)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.