KHun ka qatra nahin hai chashm-e-giryan ab talak
KHun ka qatra nahin hai chashm-e-giryan ab talak
Khwaja Ruknuddin Ishq
MORE BYKhwaja Ruknuddin Ishq
ḳhuun kā qatra nahīñ hai chashm-e-giryāñ ab talak
uzv saare jal ga.e par dil hai bariyāñ ab talak
so zabāñ ho misl-e-shāna ma.azarat kī mū-ba-mū
sāf-dil hotī nahīñ vo zulf-e-pechāñ ab talak
kahiyo ai qāsid payām us ko ki tere hijr se
jāñ-ba-lab pahuñchā nahīñ aatā hai tū yaañ ab talak
sun ke nā-ḳhush ho kahā nisbat thī mujh se ishaq kī
so ye ab ma.alūm huī tis par hai nāzāñ ab talak
'ishq' kā da.avā kiyā aur hijr meñ jiitā rahā
phiir to shākī hai ham se kahiyo nādāñ ab talak
KHun ka qatra nahin hai chashm-e-giryan ab talak
uzw sare jal gae par dil hai bariyan ab talak
so zaban ho misl-e-shana mazarat ki mu-ba-mu
saf-dil hoti nahin wo zulf-e-pechan ab talak
kahiyo ai qasid payam us ko ki tere hijr se
jaan-ba-lab pahuncha nahin aata hai tu yan ab talak
sun ke na-KHush ho kaha nisbat thī mujh se ishaq ki
so ye ab malum hui tis par hai nazan ab talak
'ishq' ka dawa kiya aur hijr mein jita raha
phir to shaki hai hum se kahiyo nadan ab talak
- Book : Kulliyat-e-Ruknuddin Ishq aur Unki Hayat aur Shaeri (Pg. 133)
- Author : Quraisha Husain
- Publication : The Azad Press, Patna (1979)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.