Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

nahin yaro KHuda hargiz tumhaare sun juda haiga

Turab Ali Dakni

nahin yaro KHuda hargiz tumhaare sun juda haiga

Turab Ali Dakni

MORE BYTurab Ali Dakni

    nahīñ yaaro ḳhudā hargiz tumhāre suñ judā haigā

    jidhar dekhe udhar mamlū sadā nūr-e-ḳhudā haigā

    tumheñ dastā nahīñ lekin o hāzir aur nāzir hai

    samajh kar murshid-e-kāmil suuñ dekho jā-ba-jā haigā

    agar masjid meñ hai bolo to vaañ mehrāb-o-mimbar hai

    agar hai dair meñ boloñ but-e-sañg be-sadā haigā

    agar boloñ ki hai ham meñ qabāhat-dar-qabāhat hai

    use qaid-e-ta.ayyun kar ke kahnā nāravā haigā

    ahad meñ hor vāhid meñ hai vahdat barzaḳh-e-kubrā

    ki shaḳhsh-o-aks meñ barzaḳh sajanjal bā-safā haigā

    chirāġh-o-roshnā.ī meñ hai shola-barzaḳh-e-tābāñ

    qalam hor harf meñ barzaḳh nuqta-e-mānī-numā haigā

    basar meñ huā basārat meñ basīrat jayo ki barzaḳh hai

    ḳhudā meñ hor hamāre meñ to barzaḳh mustafā haigā

    o paayā sach ḳhudā ke ta.iiñ jo koī jān-o-dil setī

    'turāb'-e-naqsh-e-na.alain-e-alī-e-murtazā haigā

    nahin yaro KHuda hargiz tumhaare sun juda haiga

    jidhar dekhe udhar mamlu sada nur-e-KHuda haiga

    tumhein dasta nahin lekin o hazir aur nazir hai

    samajh kar murshid-e-kaamil sun dekho ja-ba-ja haiga

    agar masjid mein hai bolo to wan mehrab-o-mimbar hai

    agar hai dair mein bolon but-e-sang be-sada haiga

    agar bolon ki hai hum mein qabahat-dar-qabahat hai

    use qaid-e-tayyun kar ke kahna narawa haiga

    ahad mein hor wahid mein hai wahdat barzaKH-e-kubra

    ki shaKHsh-o-aks mein barzaKH sajanjal ba-safa haiga

    chiragh-o-roshnai mein hai shola-barzaKH-e-taban

    qalam hor harf mein barzaKH nuqta-e-mani-numa haiga

    basar mein hua basarat mein basirat jayo ki barzaKH hai

    KHuda mein hor hamare mein to barzaKH mustafa haiga

    o paya sach KHuda ke tain jo koi jaan-o-dil seti

    'turab'-e-naqsh-e-nalain-e-ali-e-murtaza haiga

    Source :
    • Book : Diwan-e-turab (Pg. 94)
    • Author : Shah Turab Ali Dakani
    • Publication : Anjuman Taraqqi Urdu (Pakistan) (1983)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now