tasawwur tar-e-zulf-e-pur-shikan ka
tasavvur tār-e-zulf-e-pur-shikan kā
huā shīrāza band ajzā-e-tan kā
sarāpā bulbul-e-dil nāla-zan hai
ki shāyad band hai gul-pairahan kā
lab-e-rañgīn par mohr-e-ḳhamoshī
dalīl hai tañgī-e-ġhuncha-e-dahan kā
hamesha dāman-e-gul misl-e-shabnam
huā maskan mire tifl-e-nen kā
jise yaksāñ huā hai kufr-o-islām
nahīñ us paas jhagḌā mā-o-man kā
karam kar mujh uupar tuuñ yā-'husainī'
ki adnā gard huuñ tere charan kā
bahamdillāh ki aalam jāntā hai
'turābī' naqsh-e-pā huuñ bul-hasan kā
tasawwur tar-e-zulf-e-pur-shikan ka
hua shiraaza band ajza-e-tan ka
sarapa bulbul-e-dil nala-zan hai
ki shayad band hai gul-pairahan ka
lab-e-rangin par mohr-e-KHamoshi
dalil hai tangi-e-ghuncha-e-dahan ka
hamesha daman-e-gul misl-e-shabnam
hua maskan mere tifl-e-nen ka
jise yaksan hua hai kufr-o-islam
nahin us pas jhagDa ma-o-man ka
karam kar mujh upar tun ya-'husaini'
ki adna gard hun tere charan ka
bahamdillah ki aalam jaanta hai
'turabi' naqsh-e-pa hun bul-hasan ka
- Book : Diwan-e-turab (Pg. 90)
- Author : Shah Turab Ali Dakani
- Publication : Anjuman Taraqqi Urdu (Pakistan) (1983)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.