Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

main nahin kahta anal-haq yar kahta hai ki bol

Turab Ali Dakni

main nahin kahta anal-haq yar kahta hai ki bol

Turab Ali Dakni

MORE BYTurab Ali Dakni

    maiñ nahīñ kahtā anal-haq yaar kahtā hai ki bol

    kyā karūñ lāchār huuñ dildār kahtā hai ki bol

    be-dhaḌak ramz-e-anal-haq ai dilā mansūr-vār

    ab ehī hai maslihat-bardār kahtā hai ki bol

    ḳhush nahīñ ifshā-e-rāz-e-dil-rubā pesh-e-umūm

    hātif-e-ġhaibī mujhe iz.hār kahtā hai ki bol

    maiñ kiyā zabt-e-nafas lekin hai marzī us yuuñ

    rāz-e-pinhāñ bā-dar-o-dīvār kahtā hai ki bol

    na.iiñ athā har-chand dil meñ jo kahūñ ḳhalvat bhed

    parda-dar ho aap o lalkār kahtā hai ki bol

    dhuum suuñ fasl-e-bahār aatī hai ai mutrib chalī

    mai-kade meñ bulbul-e-gulzār kahtā hai ki bol

    harf jo rakhte ho mujh par yahāñ mirā kyā iḳhtiyār

    jām-e-mul kaifiyat sarshār kahtā hai ki bol

    murġh-e-dil bismil kiyā sau kushtagān-e-ishq kuuñ

    aaj ahvāl sab ḳhuñḳhār kahtā hai ki bol

    chatr sar teshe kuuñ kar farhād paayā khusravī

    o ḳhabar shīrīñ ko kohsār kahtā hai ki bol

    hāshiya vāhid nahīñ rakhtā hai lekin har nuqat

    hindsa-dāñ nuqta-e-asrār kahtā hai ki bol

    ai 'turāb'-e-mai-parast us kaif sab kaifiyat

    mohtasib kuuñ sāqī-e-mai-ḳhvār kahtā hai ki bol

    main nahin kahta anal-haq yar kahta hai ki bol

    kya karun lachaar hun dildar kahta hai ki bol

    be-dhaDak ramz-e-anal-haq ai dila mansur-war

    ab ehi hai maslihat-bardar kahta hai ki bol

    KHush nahin ifsha-e-raaz-e-dil-ruba pesh-e-umum

    hatif-e-ghaibi mujhe izhaar kahta hai ki bol

    main kiya zabt-e-nafas lekin hai marzi us ki yun

    raaz-e-pinhan ba-dar-o-diwar kahta hai ki bol

    nain atha har-chand dil mein jo kahun KHalwat ka bhed

    parda-dar ho aap o lalkar kahta hai ki bol

    dhum sun fasl-e-bahaar aati hai ai mutrib chali

    mai-kade mein bulbul-e-gulzar kahta hai ki bol

    harf jo rakhte ho mujh par yahan mera kya iKHtiyar

    jam-e-mul ki kaifiyat sarshaar kahta hai ki bol

    murgh-e-dil bismil kiya sau kushtagan-e-ishq kun

    aaj ka ahwal sab KHunKHar kahta hai ki bol

    chatr sar teshe kun kar farhad paya khusrawi

    o KHabar shirin ko ja kohsar kahta hai ki bol

    hashiya wahid nahin rakhta hai lekin har nuqat

    hindsa-dan nuqta-e-asrar kahta hai ki bol

    ai 'turab'-e-mai-parast us kaif ki sab kaifiyat

    mohtasib kun saqi-e-mai-KHwar kahta hai ki bol

    Source :
    • Book : Diwan-e-turab (Pg. 258)
    • Author : Shah Turab Ali Dakani
    • Publication : Anjuman Taraqqi Urdu (Pakistan) (1983)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now