asir-e-kakul-e-KHamdar hun main
asīr-e-kākul-e-ḳhamdār huuñ maiñ
giraftār-e-kamand-e-yār huuñ maiñ
tire ā.īna-rū kuuñ dekh hairat
sarāpā sūrat-e-dīvār huuñ maiñ
kiyā yak aah suuñ aadā ko faanī
ajab shamshīr-e-jauhar-dār huuñ maiñ
rakhā hai pech de kar dil kuuñ mere
fidā-e-chīra-e-bal-dār huuñ maiñ
dekhāyā huuñ jab us laila-sifat kuuñ
dil-e-dīvāna majnūñ-vār huuñ maiñ
but-e-gesū-darāzī dekh bar meñ
nisār-e-rishta-e-zunnār huuñ maiñ
'turāb'-e-naqsh-e-pā-e-mominā ho
sag-e-dargāh-e-hasht-o-chār huuñ maiñ
asir-e-kakul-e-KHamdar hun main
giraftar-e-kamand-e-yar hun main
tere aaina-ru kun dekh hairat
sarapa surat-e-diwar hun main
kiya yak aah sun aada ko fani
ajab shamshir-e-jauhar-dar hun main
rakha hai pech de kar dil kun mere
fida-e-chira-e-bal-dar hun main
dekhaya hun jab us laila-sifat kun
dil-e-diwana majnun-war hun main
but-e-gesu-daraazi dekh bar mein
nisar-e-rishta-e-zunnar hun main
'turab'-e-naqsh-e-pa-e-momina ho
sag-e-dargah-e-hasht-o-chaar hun main
- Book : Diwan-e-turab (Pg. 269)
- Author : Shah Turab Ali Dakani
- Publication : Anjuman Taraqqi Urdu (Pakistan) (1983)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.