sajan hamare baDe haTile ghaDi mein kuchh hor ghaDi mein kuchh hain
sajan hamare baDe haTile ghaDi mein kuchh hor ghaDi mein kuchh hain
Turab Ali Dakni
MORE BYTurab Ali Dakni
sajan hamāre baḌe haTīle ghaḌī meñ kuchh hor ghaḌī meñ kuchh haiñ
safā ke milne mane rañgīle ghaḌī meñ kuchh hor ghaḌī meñ kuchh haiñ
paḌe haiñ dil par mire phaphole kabho karam suuñ shitāb bole
dise piyā tum baḌe abhole ghaḌī meñ kuchh hor ghaḌī meñ kuchh haiñ
bure atthe yuuñ nasīb hamāre paḌe jo paale sajan tumāre
terī to bātāñ are piyāre ghaḌī meñ kuchh hor ghaḌī meñ kuchh haiñ
ghaḌī meñ hañs hañs ke baat karte ghaḌī meñ aa kar ġhusse meñ bharte
ehī hameñ tum kuuñ dekh Darte ghaḌī meñ kuchh hor ghaḌī meñ kuchh haiñ
kabhū to uñglī meñ haat Daale kabhū lagāve adā ke bhāle
are sirījan tire to chāle ghaḌī meñ kuchh hor ghaḌī meñ kuchh haiñ
sajan ke darshan pe ho ke qurbāñ rahā huuñ hairat-zada pareshāñ
ḳhayāl-e-ā.īna rū-e-ḳhūbāñ ghaḌī meñ kuchh hor ghaḌī meñ kuchh haiñ
'turāb' hotā hai ashk-e-bārāñ apas meñ tuuñ bol rāz-dārāñ
har ek gulshan meñ nau-bahārāñ ghaḌī meñ kuchh hor ghaḌī meñ kuchh haiñ
sajan hamare baDe haTile ghaDi mein kuchh hor ghaDi mein kuchh hain
safa ke milne mane rangile ghaDi mein kuchh hor ghaDi mein kuchh hain
paDe hain dil par mere phaphole kabho karam sun shitab bole
dise piya tum baDe abhole ghaDi mein kuchh hor ghaDi mein kuchh hain
bure atthe yun nasib hamare paDe jo pale sajan tumare
teri to baatan are piyare ghaDi mein kuchh hor ghaDi mein kuchh hain
ghaDi mein hans hans ke baat karte ghaDi mein aa kar ghusse mein bharte
ehi hamein tum kun dekh Darte ghaDi mein kuchh hor ghaDi mein kuchh hain
kabhu to ungli mein hat Dale kabhu lagawe ada ke bhaale
are sirijan tere to chaale ghaDi mein kuchh hor ghaDi mein kuchh hain
sajan ke darshan pe ho ke qurban raha hun hairat-zada pareshan
KHayal-e-aina ru-e-KHuban ghaDi mein kuchh hor ghaDi mein kuchh hain
'turab' hota hai ashk-e-baran apas mein tun bol raaz-daran
har ek gulshan mein nau-bahaaran ghaDi mein kuchh hor ghaDi mein kuchh hain
- Book : Diwan-e-turab (Pg. 325)
- Author : Shah Turab Ali Dakani
- Publication : Anjuman Taraqqi Urdu (Pakistan) (1983)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.