kiya jo mujh taraf gul-ru nazar aahista aahista
kiyā jo mujh taraf gul-rū nazar āhista āhista
o pahuñchī bulbul-e-dil kuuñ ḳhabar āhista āhista
hue jo ashk-e-ġham jaarī sarāpā chashm-e-pur-ḳhūñ señ
lage bahne kuuñ aalam meñ nahr āhista āhista
jo dekhā tujh hilāl-abrū-o-misl-e-badr-tābāñ-ruḳh
ḳhajālat suuñ lagā galne qamar āhista āhista
sarāpā jur.a-noshān-e-haqīqat meñ ta.assur hai
kare jayo bāda-e-gul-rañg asar āhista āhista
jo kuchh tuḳhm-e-amal botā hai ai dil bāġh-e-imkāñ meñ
shajar ho lā.egā āḳhir samar āhista āhista
saTā hai ishaq kī lā kar o mere dil meñ chiñgārī
uTheñge sho.ala-afshāñ ho sharar āhista āhista
huā tujh sher yoñ raushan 'turāb' āzam-us-sho.arā
ki jayo shab jā ke hotā hai sahar āhista āhista
kiya jo mujh taraf gul-ru nazar aahista aahista
o pahunchi bulbul-e-dil kun KHabar aahista aahista
hue jo ashk-e-gham jari sarapa chashm-e-pur-KHun sen
lage bahne kun aalam mein nahr aahista aahista
jo dekha tujh hilal-abru-o-misl-e-badr-taban-ruKH
KHajalat sun laga galne qamar aahista aahista
sarapa jura-noshan-e-haqiqat mein tassur hai
kare jayo baada-e-gul-rang asar aahista aahista
jo kuchh tuKHm-e-amal bota hai ai dil bagh-e-imkan mein
shajar ho laega aaKHir samar aahista aahista
saTa hai ishaq ki la kar o mere dil mein chingari
uThenge shoala-afshan ho sharar aahista aahista
hua tujh sher yon raushan 'turab' aazam-us-shoara
ki jayo shab ja ke hota hai sahar aahista aahista
- Book : Diwan-e-turab (Pg. 360)
- Author : Shah Turab Ali Dakani
- Publication : Anjuman Taraqqi Urdu (Pakistan) (1983)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.