are dil kya sabab nahaq pareshan is qadar hai re
are dil kyā sabab nāhaq pareshāñ is qadar hai re
kisī ke halqa-e-kākul kā shāyad kuchh asar hai re
are dil kyuuñ tuuñ hairat meñ paḌā hai misl-e-ā.īna
tujhe dekhe siiñ kul paanī sikandar kā jigar hai re
are dil misl-e-bulbul chup hamesha nāla-zan hai tuuñ
kahīñ gul-pairahan gul-rū kī paayā kuchh ḳhabar hai re
are dil mat ho dīvāna parī-rūyāñ ke kākul kā
tujhe zanjīr kar shīshe meñ rakhne kī fikar hai rahe
are dil tujh kuuñ baitullāh kahte ārifāñ saare
to pas tahqīq tere maiñ chaturbahuj kā guzar hai re
are dil tuuñ murārī hor are dil tuuñ hai murlī-dhar
taheñ mādhav taheñ gobind taheñ gopāl har hai re
are dil kyuuñ huā hai re abas tuuñ vahshī-e-dashtī
kisī āhū-nigāhāñ kī tuje achchhar kā chhar hai re
are dil nirkuTī meñ dekh tar-e-mūrat kī mūrat kuuñ
ohī mūrat ohī sūrat ohī sab nār-o-nar hai re
are dil ham 'turāb-e-naqsh-e-pā haiñ ḳhūb-rūyāñ ke
ziyāda guftugū phir kyā hai qissa muḳhtasar hai re
are dil kya sabab nahaq pareshan is qadar hai re
kisi ke halqa-e-kakul ka shayad kuchh asar hai re
are dil kyun tun hairat mein paDa hai misl-e-aina
tujhe dekhe sin kul pani sikandar ka jigar hai re
are dil misl-e-bulbul chup hamesha nala-zan hai tun
kahin gul-pairahan gul-ru ki paya kuchh KHabar hai re
are dil mat ho diwana pari-ruyan ke kakul ka
tujhe zanjir kar shishe mein rakhne ki fikar hai rahe
are dil tujh kun baitullah kahte aarifan sare
to pas tahqiq tere main chaturbahuj ka guzar hai re
are dil tun murari hor are dil tun hai murli-dhar
tahen madhaw tahen gobind tahen gopal har hai re
are dil kyun hua hai re abas tun wahshi-e-dashti
kisi aahu-nigahan ki tuje achchhar ka chhar hai re
are dil nirkuTi mein dekh tar-e-murat ki murat kun
ohi murat ohi surat ohi sab nar-o-nar hai re
are dil hum 'turab-e-naqsh-e-pa hain KHub-ruyan ke
ziyaada guftugu phir kya hai qissa muKHtasar hai re
- Book : Diwan-e-turab (Pg. 376)
- Author : Shah Turab Ali Dakani
- Publication : Anjuman Taraqqi Urdu (Pakistan) (1983)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.